Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

falak par koi sazish ho rahi hai

Ateeq Muzaffarpuri

falak par koi sazish ho rahi hai

Ateeq Muzaffarpuri

MORE BYAteeq Muzaffarpuri

    falak par koī sāzish ho rahī hai

    samundar par bārish ho rahī hai

    haTā.e rahe haiñ kaam ke log

    nikammoñ par navāzish ho rahī hai

    dabāyā rahā hai ḳhūbiyoñ ko

    jihālat numā.ish ho rahī hai

    burā.ī chal rahī hai piiTh pīchhe

    magar muñh par satā.ish ho rahī hai

    navāzā rahā hai dushmanoñ ko

    vafādāroñ se pursish ho rahī hai

    'atīq' ab chal-chalāv ghaḌī hai

    duāoñ guzārish ho rahī hai

    falak par koi sazish ho rahi hai

    samundar par hi barish ho rahi hai

    haTae ja rahe hain kaam ke log

    nikammon par nawazish ho rahi hai

    dabaya ja raha hai KHubiyon ko

    jihaalat ki numaish ho rahi hai

    burai chal rahi hai piTh pichhe

    magar munh par sataish ho rahi hai

    nawaza ja raha hai dushmanon ko

    wafadaron se pursish ho rahi hai

    'atiq' ab chal-chalaw ki ghaDi hai

    duaon ki guzarish ho rahi hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now