falak se toD ke laoge mah-o-anjum ko
falak se toḌ ke lāoge māh-o-anjum ko
kabhī tumhīñ ne kahā thā jo yaad ho tum ko
ḳhushī se Dūbeñge jab tum hī nāḳhudā Thahre
ḳhabar karo to zarā mauj aur talātum ko
ye kaisī bazm hai vīrān mai-kada kyoñ hai
nigāheñ DhūñDhtī rahtī haiñ bāda-o-ḳhum ko
jahez naam kī fikroñ se Dar ga.iiñ ḳhushiyāñ
dulhan tarastī hai be-fikr se tabassum ko
makāñ hai shīshe kā har vaqt sahmī rahtī huuñ
maiñ rok bhī nahīñ saktī havā-e-barham ko
sabhī to apne the par ghar jalā diyā kis ne
jhulaste sho'loñ ne ham ko jalā diyā tum ko
vo bazm-e-ġhair meñ andāz-e-be-ruḳhī 'satvat'
kabhī bhulā na sakī maiñ tire takallum ko
falak se toD ke laoge mah-o-anjum ko
kabhi tumhin ne kaha tha jo yaad ho tum ko
KHushi se Dubenge jab tum hi naKHuda Thahre
KHabar karo to zara mauj aur talatum ko
ye kaisi bazm hai viran mai-kada kyon hai
nigahen DhunDhti rahti hain baada-o-KHum ko
jahez nam ki fikron se Dar gain KHushiyan
dulhan tarasti hai be-fikr se tabassum ko
makan hai shishe ka har waqt sahmi rahti hun
main rok bhi nahin sakti hawa-e-barham ko
sabhi to apne the par ghar jala diya kis ne
jhulaste sho'lon ne hum ko jala diya tum ko
wo bazm-e-ghair mein andaz-e-be-ruKHi 'satwat'
kabhi bhula na saki main tere takallum ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.