Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

falak ye jaur-o-sitam mujhse na-tawan ke liye

Hakeem Aagha Jan Aish

falak ye jaur-o-sitam mujhse na-tawan ke liye

Hakeem Aagha Jan Aish

MORE BYHakeem Aagha Jan Aish

    falak ye jaur-o-sitam mujh se nā-tavāñ ke liye

    maiñ thā kyā tire zulmoñ ke imtihāñ ke liye

    dil āshiqoñ ke the pāmālī-e-butāñ ke liye

    na jaur-e-ġhair-o-jafā-hā-e-āsmāñ ke liye

    maiñ musta.id huuñ agar nāla-o-fuġhāñ ke liye

    to kuchh se kuchh abhī ho jaa.e āsmāñ ke liye

    phañsā ke yaar zulfoñ meñ ham ne dil dekho

    ḳharīdī aur balā ek apnī jaañ ke liye

    sitam hai fasl-e-bahārī meñ bāġhbāñ hukm

    na ho.e baaġh meñ bulbul ko āshiyāñ kai liye

    kahegā nāsehā kyā fā.ede mere

    hue haiñ ḳhalq āshiq faqat ziyāñ kai liye

    na ḳharch bā-ḳhudā umr-e-azīz apnī kar

    milā nahīñ tujhe ye naqd rā.egāñ ke liye

    yahāñ haiñ TukḌe jigar mah-vashoñ ke be-dekhe

    ye baat kab hai mayassar bhalā katāñ ke liye

    hamārā roknā achchhā nahiñ hai sun lenā

    ek aur roz burā hogā pāsbāñ kai liye

    na ho.e kyuuñ dar-e-asnām sajda-gah apnā

    jabīñ banī hai butoñ ke āstāñ ke liye

    basā hai dil ke mire qasr meñ tasavvur-e-yār

    makīn thā ye sazā-vār is makāñ ke liye

    sunā ke qissa-e-ġham apnā us ko apne

    dil-o-jigar ne maze ġham dāstāñ ke liye

    use to roz bahāne ko chāhiyeñ dariyā

    kahāñ se lā.ūñ maiñ us chashm-e-ḳhūñfishāñ ke liye

    nahīñ to bar-sar-e-har-mudda.ā hai sau sau baar

    par ik zabān jo hiltī nahīñ so haañ kai liye

    chhupā rahe na ruḳh-e-yār zulf meñ kyūñ-kar

    taqayya farz hai momin ko hifz-e-jāñ ke liye

    sunā jo mad.h bhī kiije to kiije aise

    ki jis mad.h ho faḳhr ahl-e-āsmāñ ke liye

    na ye ki har kas-o-nā-kas ke bhaaT jā.iye ban

    pa.e-umīd-e-zar-e-naqd-o-hirs-e-nāñ ke liye

    nahīñ hai mad.h kisī ke liye yahāñ zebā

    jo hai to hai nabī-e-āḳhiruz-zamāñ ke liye

    vo vo hai naam zabāñ par gar us aa jaave

    to lazzat aur hāsil ho kām-o-jāñ ke liye

    vo vo hai nām-e-ḳhudā dekho jis zarra-e-lutf

    faroġh-baḳhsh hai is tīra-ḳhāk-dāñ ke liye

    usī ke hai ruḳh-e-anvar se ye jahāñ raushan

    usī se nuur hai ḳhurshīd-e-āsmāñ ke liye

    vo kaun sarvar-e-ālam mohammad-e-arabī

    ki jis zaat se hai faiz do-jahāñ ke liye

    atā kiyā hai ḳhudā ne vo haañ use dil-o-dast

    ki jis se pahuñche hai imdād bahr-o-kāñ ke liye

    kalīd-e-qufl-e-dar-e-ārzū haiñ us bhaveñ

    bilā-mubālaġha kahtā huuñ ins-o-jāñ ke liye

    itā.at us zaḳhīra hai bas sa.ādat

    yahāñ ke vāste aur mulk-e-jāvedāñ ke liye

    vo jo zabān ki ho us mad.h se sākit

    majāl-e-nutq na ho 'aish' us zabāñ ke liye

    falak ye jaur-o-sitam mujh se na-tawan ke liye

    main hi tha kya tere zulmon ke imtihan ke liye

    dil aashiqon ke the pamali-e-butan ke liye

    na jaur-e-ghair-o-jafa-ha-e-asman ke liye

    main mustaid hun agar nala-o-fughan ke liye

    to kuchh se kuchh abhi ho jae aasman ke liye

    phansa ke yar ki zulfon mein hum ne dil dekho

    KHaridi aur bala ek apni jaan ke liye

    sitam hai fasl-e-bahaari mein baghban ka hukm

    na hoe bagh mein bulbul ko aashiyan kai liye

    kahega naseha kya faede ki tu mere

    hue hain KHalq hi aashiq faqat ziyan kai liye

    na KHarch ba-KHuda umr-e-aziz apni kar

    mila nahin tujhe ye naqd raegan ke liye

    yahan hain TukDe jigar mah-washon ke be-dekhe

    ye baat kab hai mayassar bhala katan ke liye

    hamara rokna achchha nahin hai sun lena

    ek aur roz bura hoga pasban kai liye

    na hoe kyun dar-e-asnam sajda-gah apna

    jabin bani hai buton hi ke aastan ke liye

    basa hai dil ke mere qasr mein tasawwur-e-yar

    makin tha ye saza-war is makan ke liye

    suna ke qissa-e-gham apna us ko apne hi

    dil-o-jigar ne maze gham ki dastan ke liye

    use to roz bahane ko chahiyen dariya

    kahan se laun main us chashm-e-KHunfishan ke liye

    nahin to bar-sar-e-har-muddaa hai sau sau bar

    par ek zaban jo hilti nahin so han kai liye

    chhupa rahe na ruKH-e-yar zulf mein kyun-kar

    taqayya farz hai momin ko hifz-e-jaan ke liye

    suna jo madh bhi kije to kije aise ki

    ki jis ki madh ho faKHr ahl-e-asman ke liye

    na ye ki har kas-o-na-kas ke bhaT jaiye ban

    pae-umid-e-zar-e-naqd-o-hirs-e-nan ke liye

    nahin hai madh kisi ke liye yahan zeba

    jo hai to hai nabi-e-aKHiruz-zaman ke liye

    wo wo hai nam zaban par gar us ka aa jawe

    to lazzat aur hi hasil ho kaam-o-jaan ke liye

    wo wo hai nam-e-KHuda dekho jis ka zarra-e-lutf

    farogh-baKHsh hai is tira-KHak-dan ke liye

    usi ke hai ruKH-e-anwar se ye jahan raushan

    usi se nur hai KHurshid-e-asman ke liye

    wo kaun sarwar-e-alam mohammad-e-arabi

    ki jis ki zat se hai faiz do-jahan ke liye

    ata kiya hai KHuda ne wo han use dil-o-dast

    ki jis se pahunche hai imdad bahr-o-kan ke liye

    kalid-e-qufl-e-dar-e-arzu hain us ki bhawen

    bila-mubaalagha kahta hun ins-o-jaan ke liye

    itaat us ki zaKHira hai bas saadat ka

    yahan ke waste aur mulk-e-jawedan ke liye

    wo jo zaban ki ho us ki madh se sakit

    majal-e-nutq na ho 'aish' us zaban ke liye

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now