fan agar ruh-o-dil ki riyazat na ho
fan agar rūh-o-dil kī riyāzat na ho
aisī masjid hai jis meñ ibādat na ho
terī āñkhoñ meñ aisā sañvar jā.ūñ maiñ
umr-bhar ā.inoñ kī zarūrat na ho
kis ko nīlām karte ho bāzār meñ
ye kisī ghar ke mandir kī mūrat na ho
dil-navāzī ke fan jānñā chāhiye
husn chāhe bahut ḳhūb-sūrat na ho
din to niklā ḳharīdā huā aadmī
ai ḳhudā raat bhī sab kī aurat na ho
chhapparoñ par diye rakh ga.ī hai havā
taaki phir raushnī kī shikāyat na ho
fan agar ruh-o-dil ki riyazat na ho
aisi masjid hai jis mein ibaadat na ho
teri aankhon mein aisa sanwar jaun main
umr-bhar aainon ki zarurat na ho
kis ko nilam karte ho bazar mein
ye kisi ghar ke mandir ki murat na ho
dil-nawazi ke fan jaanna chahiye
husn chahe bahut KHub-surat na ho
din to nikla KHarida hua aadmi
ai KHuda raat bhi sab ki aurat na ho
chhapparon par diye rakh gai hai hawa
taki phir raushni ki shikayat na ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.