Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

fana ka hosh aana zindagi ka dard-e-sar jaana

Chakbast Brij Narayan

fana ka hosh aana zindagi ka dard-e-sar jaana

Chakbast Brij Narayan

MORE BYChakbast Brij Narayan

    fanā hosh aanā zindagī dard-e-sar jaanā

    ajal kyā hai ḳhumār-e-bāda-e-hastī utar jaanā

    azīzān-e-vatan ko ġhuncha o barg o samar jaanā

    ḳhudā ko bāġhbāñ aur qaum ko ham ne shajar jaanā

    urūs-e-jāñ nayā pairāhan-e-hastī badaltī hai

    faqat tamhīd aane hai duniyā se guzar jaanā

    musībat meñ bashar ke jauhar-e-mardāna khulte haiñ

    mubārak buz-diloñ ko gardish-e-qismat se Dar jaanā

    vo tab'-e-yās-parvar ne mujhe chashm-e-aqīdat

    ki shām-e-ġham tārīkī ko bhī nūr-e-sahar jaanā

    bahut saudā rahā vaa.iz tujhe nār-e-jahannam

    maza soz-e-mohabbat bhī kuchh ai be-ḳhabar jaanā

    karishma ye bhī hai ai be-ḳhabar iflās-e-qaumī

    talāsh-e-rizq meñ ahl-e-hunar dar-ba-dar jaanā

    ajal niiñd meñ bhī ḳhvāb-e-hastī gar nazar aayā

    to phir bekār hai tang aa ke is duniyā se mar jaanā

    vo saudā zindagī hai ki ġham insān sahtā hai

    nahīñ to hai bahut āsān is jiine se mar jaanā

    chaman-zār-e-mohabbat meñ usī ne bāġhbānī

    ki jis ne apnī mehnat ko mehnat samar jaanā

    sidhārī manzil-e-hastī se kuchh be-e'tinā.ī se

    tan-e-ḳhākī ko shāyad ruuh ne gard-e-safar jaanā

    fana ka hosh aana zindagi ka dard-e-sar jaana

    ajal kya hai KHumar-e-baada-e-hasti utar jaana

    azizan-e-watan ko ghuncha o barg o samar jaana

    KHuda ko baghban aur qaum ko hum ne shajar jaana

    urus-e-jaan naya pairahan-e-hasti badalti hai

    faqat tamhid aane ki hai duniya se guzar jaana

    musibat mein bashar ke jauhar-e-mardana khulte hain

    mubarak buz-dilon ko gardish-e-qismat se Dar jaana

    wo tab'-e-yas-parwar ne mujhe chashm-e-aqidat di

    ki sham-e-gham ki tariki ko bhi nur-e-sahar jaana

    bahut sauda raha waiz tujhe nar-e-jahannam ka

    maza soz-e-mohabbat ka bhi kuchh ai be-KHabar jaana

    karishma ye bhi hai ai be-KHabar iflas-e-qaumi ka

    talash-e-rizq mein ahl-e-hunar ka dar-ba-dar jaana

    ajal ki nind mein bhi KHwab-e-hasti gar nazar aaya

    to phir bekar hai tang aa ke is duniya se mar jaana

    wo sauda zindagi ka hai ki gham insan sahta hai

    nahin to hai bahut aasan is jine se mar jaana

    chaman-zar-e-mohabbat mein usi ne baghbani ki

    ki jis ne apni mehnat ko hi mehnat ka samar jaana

    sidhaari manzil-e-hasti se kuchh be-e'tinai se

    tan-e-KHaki ko shayad ruh ne gard-e-safar jaana

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now