faqat lafzon se kyon phulon sitaron se ghazal likkhen
faqat lafzoñ se kyoñ phūloñ sitāroñ se ġhazal likkheñ
jo hañste haiñ sadā un ābshāroñ se ġhazal likkheñ
lab-e-dariyā idhar haiñ phuul aur us samt haiñ kāñTe
milā kar ḳhār-o-gul donoñ kināroñ se ġhazal likkheñ
har ik ehsās ko alfāz mil jaa.eñ ye nā-mumkin
zabāñ jo ban na paa.e un ishāroñ se ġhazal likkheñ
ḳhushī ne phuul barsā.e bahāreñ aa ga.iiñ lekin
abhī maġhmūm haiñ jo un nazāroñ se ġhazal likkheñ
lahū meñ Duub kar ubhre na.ī tahzīb ke manzar
guloñ ko chhoḌ kar ham sho'la-zāroñ se ġhazal likkheñ
judā hote hue sūraj ke ġham se āshnā ho kar
shafaq ke Dūbte rangīñ nazāroñ se ġhazal likkheñ
'shabānā' apnī kashtī hai abhī tūfāñ kī bāñhoñ meñ
jahāñ kashtī rukegī un kināroñ se ġhazal likkheñ
faqat lafzon se kyon phulon sitaron se ghazal likkhen
jo hanste hain sada un aabshaaron se ghazal likkhen
lab-e-dariya idhar hain phul aur us samt hain kanTe
mila kar KHar-o-gul donon kinaron se ghazal likkhen
har ek ehsas ko alfaz mil jaen ye na-mumkin
zaban jo ban na pae un ishaaron se ghazal likkhen
KHushi ne phul barsae bahaaren aa gain lekin
abhi maghmum hain jo un nazaron se ghazal likkhen
lahu mein Dub kar ubhre nai tahzib ke manzar
gulon ko chhoD kar hum sho'la-zaron se ghazal likkhen
juda hote hue suraj ke gham se aashna ho kar
shafaq ke Dubte rangin nazaron se ghazal likkhen
'shabana' apni kashti hai abhi tufan ki banhon mein
jahan kashti rukegi un kinaron se ghazal likkhen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.