Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

faqiron ka chalan yun jism ke andar mahakta hai

Taufeeq Sagar

faqiron ka chalan yun jism ke andar mahakta hai

Taufeeq Sagar

MORE BYTaufeeq Sagar

    faqīroñ chalan yuuñ jism ke andar mahaktā hai

    mirī pagḌī bhī gir jaa.e to merā sar mahaktā hai

    vo apne haath meñ ik phuul bhī le kar nahīñ aayā

    magar jaise koī gulshan mire andar mahaktā hai

    mujhe dekhe binā us kabhī chehrā nahīñ khiltā

    ajab ḳhushbū jhoñkā hai mujhe chhū kar mahaktā hai

    parī dāstānoñ se mo.attar hai udhar āñgan

    idhar sālan ḳhushbū meñ rasoī ghar mahaktā hai

    ye maanā sab ke hāthoñ meñ yahāñ kashkol hai lekin

    yahī vo gaañv hai har din jahāñ lañgar mahaktā hai

    na jaane ḳhvāb ke TuuTe khañDar meñ kaun aayā thā

    kabhī kamra mahaktā hai kabhī bistar mahaktā hai

    mire lahje meñ ghultī rahī hai yuuñ tirī ḳhushbū

    koī bhī aa.ina dekhūñ tirā paikar mahaktā hai

    salīqa yuuñ bhaTakne sikhāyā hai faqīroñ ne

    jidhar se ham guzar jaa.eñ vahāñ ghar ghar mahaktā hai

    na jaane gaañv ke panghaT meñ 'sāgar' kaun aayā thā

    abhī tak dekhiye tālāb patthar mahaktā hai

    faqiron ka chalan yun jism ke andar mahakta hai

    meri pagDi bhi gir jae to mera sar mahakta hai

    wo apne hath mein ek phul bhi le kar nahin aaya

    magar jaise koi gulshan mere andar mahakta hai

    mujhe dekhe bina us ka kabhi chehra nahin khilta

    ajab KHushbu ka jhonka hai mujhe chhu kar mahakta hai

    pari ki dastanon se moattar hai udhar aangan

    idhar salan ki KHushbu mein rasoi ghar mahakta hai

    ye mana sab ke hathon mein yahan kashkol hai lekin

    yahi wo ganw hai har din jahan langar mahakta hai

    na jaane KHwab ke TuTe khanDar mein kaun aaya tha

    kabhi kamra mahakta hai kabhi bistar mahakta hai

    mere lahje mein ghulti ja rahi hai yun teri KHushbu

    koi bhi aaina dekhun tera paikar mahakta hai

    saliqa yun bhaTakne ka sikhaya hai faqiron ne

    jidhar se hum guzar jaen wahan ghar ghar mahakta hai

    na jaane ganw ke panghaT mein 'sagar' kaun aaya tha

    abhi tak dekhiye talab ka patthar mahakta hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now