fareb de ke use jitna gawara nahin
fareb de ke use jītnā gavārā nahīñ
agar vo dil se hamārā nahīñ hamārā nahīñ
abhī to ham ne hī us kī taraf nazar kī hai
abhī to us kī taraf se koī ishārā nahīñ
shab-e-siyāh tirī tīrgī pe lā'nat hai
shab-e-siyāh tire paas ik sitārā nahīñ
use chhuā hī nahīñ hai to phuul ḳhushbū kyā
badan badan hai badan koī isti'ārā nahīñ
jahāñ pe khulnī thī apnī sadā khulī hī nahīñ
jise pukārnā chāhā use pukārā nahīñ
fareb de ke use jitna gawara nahin
agar wo dil se hamara nahin hamara nahin
abhi to hum ne hi us ki taraf nazar ki hai
abhi to us ki taraf se koi ishaara nahin
shab-e-siyah teri tirgi pe la'nat hai
shab-e-siyah tere pas ek sitara nahin
use chhua hi nahin hai to phul KHushbu kya
badan badan hai badan koi isti'ara nahin
jahan pe khulni thi apni sada khuli hi nahin
jise pukarna chaha use pukara nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.