fareb-e-husn ki ghaten hasin hain
fareb-e-husn kī ghāteñ hasīñ haiñ
mohabbat meñ bhī kyā bāteñ hasīñ haiñ
jamāyā rang aisā āñsuoñ ne
samajhtā huuñ ki barsāteñ hasīñ haiñ
sitāre TūTte haiñ sūrat-e-dil
bazāhir chāñdnī rāteñ hasīñ haiñ
mayassar jo kisī pahlū na aa.eñ
vahī un kī mulāqāteñ hasīñ haiñ
na kyoñ dabtī fuġhāñ sargoshiyoñ meñ
du'āoñ se munājāteñ hasīñ haiñ
'nazar' jin se shikast-e-zīst dekhī
javānī kī vahī māteñ hasīñ haiñ
fareb-e-husn ki ghaten hasin hain
mohabbat mein bhi kya baaten hasin hain
jamaya rang aisa aansuon ne
samajhta hun ki barsaten hasin hain
sitare TuTte hain surat-e-dil
bazahir chandni raaten hasin hain
mayassar jo kisi pahlu na aaen
wahi un ki mulaqaten hasin hain
na kyon dabti fughan sargoshiyon mein
du'aon se munajaten hasin hain
'nazar' jin se shikast-e-zist dekhi
jawani ki wahi maten hasin hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.