Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

fareb-e-kasrat-e-jalwa se aashna hun main

Sarosh Lucknowi

fareb-e-kasrat-e-jalwa se aashna hun main

Sarosh Lucknowi

MORE BYSarosh Lucknowi

    fareb-e-kasrat-e-jalva se āshnā huuñ maiñ

    tirī qasam tujhe tanhā dekhtā huuñ maiñ

    qubūl jo nahīñ hotī vo iltijā huuñ maiñ

    kabhī jo bar nahīñ aatā vo mudda.ā huuñ maiñ

    mujhe na chheḌ dukhe dil tājirā huuñ maiñ

    tamām qissa-e-nākāmī-e-vafā huuñ maiñ

    matā.a-e-ām nahīñ jins-e-be-bahā huuñ maiñ

    parakhne vaale parakh jauhar-e-vafā huuñ maiñ

    rasā.iyāñ mirī mahdūd haiñ mire dil tak

    lab-āshnā nahīñ vo āh-e-nā-rasā huuñ maiñ

    mirī hayāt-e-mohabbat hai be-kasī hayāt

    ḳhud apne haal ko bhī ġhair rahā huuñ maiñ

    vo rāz-e-fāsh huuñ jis par nazar nahīñ paḌtī

    junūñ bhes hai aur ishq-e-barmalā huuñ maiñ

    ruḳh-e-hazīñ se numāyāñ hai ḳhastagī dil

    shikast-e-rang-e-tamannā aa.ina huuñ maiñ

    na koī raah hai merī na koī manzil hai

    fazā meñ khoī huī duur sadā huuñ maiñ

    kahāñ pe dekhiye le jaa.e ishq azmat

    abhī to daur-e-vafā se guzar rahā huuñ maiñ

    bahār-e-gul ki shafaq ho manzar-e-rangīñ

    tirā naqsh-e-tabassum hai jāntā huuñ maiñ

    ḳhudā kare ki ye lamhe abad se mil jaa.eñ

    vo ashk pūchhte jaate haiñ ro rahā huuñ maiñ

    jo tiir ban ke kaleje ke paar hotī hai

    shikast-e-sāz vo āḳhirī sadā huuñ maiñ

    jagah hai mere liye ḳhaas qalb-e-qudrat meñ

    dil-e-ġharīb se niklī huī duā huuñ maiñ

    'sarosh' mashq-e-gunah bhī kabhī kabhī varna

    ḳhudī na baḌh ke ye kahne lage ḳhudā huuñ maiñ

    fareb-e-kasrat-e-jalwa se aashna hun main

    teri qasam tujhe tanha hi dekhta hun main

    qubul jo nahin hoti wo iltija hun main

    kabhi jo bar nahin aata wo muddaa hun main

    mujhe na chheD dukhe dil ka tajira hun main

    tamam qissa-e-nakaami-e-wafa hun main

    mataa-e-am nahin jins-e-be-baha hun main

    parakhne wale parakh jauhar-e-wafa hun main

    rasaiyan meri mahdud hain mere dil tak

    lab-ashna nahin wo aah-e-na-rasa hun main

    meri hayat-e-mohabbat hai be-kasi ki hayat

    KHud apne haal ko bhi ghair pa raha hun main

    wo raaz-e-fash hun jis par nazar nahin paDti

    junun ka bhes hai aur ishq-e-barmala hun main

    ruKH-e-hazin se numayan hai KHastagi dil ki

    shikast-e-rang-e-tamanna ka aaina hun main

    na koi rah hai meri na koi manzil hai

    faza mein khoi hui dur ki sada hun main

    kahan pe dekhiye le jae ishq ki azmat

    abhi to daur-e-wafa se guzar raha hun main

    bahaar-e-gul ki shafaq ka ho manzar-e-rangin

    tera hi naqsh-e-tabassum hai jaanta hun main

    KHuda kare ki ye lamhe abad se mil jaen

    wo ashk puchhte jate hain ro raha hun main

    jo tir ban ke kaleje ke par hoti hai

    shikast-e-saz ki wo aaKHiri sada hun main

    jagah hai mere liye KHas qalb-e-qudrat mein

    dil-e-gharib se nikli hui dua hun main

    'sarosh' mashq-e-gunah bhi kabhi kabhi warna

    KHudi na baDh ke ye kahne lage KHuda hun main

    Source:

    Nawa-e-Sarosh (Pg. 381)

    • Author: Sarosh Lucknowi
      • Publisher: Masood Rudauli
      • Year of Publication: 1993
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now