Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

fareb-e-mohabbat se ghafil nahin hun

Shakeel Badayuni

fareb-e-mohabbat se ghafil nahin hun

Shakeel Badayuni

MORE BYShakeel Badayuni

    fareb-e-mohabbat se ġhāfil nahīñ huuñ

    jo mast-e-junūñ ho vo dil nahīñ huuñ

    unheñ azm-e-tark-e-ta.alluq mubārak

    maiñ un ke irādoñ meñ haa.il nahīñ huuñ

    tirī bazm se hai bas itnā ta.alluq

    ki shāmil bhī huuñ aur shāmil nahīñ huuñ

    qaum aur aġhyār ke mashvaroñ se

    maiñ aisī ināyat qaa.il nahīñ huuñ

    sambhal kar zarā ai mohabbat kashtī

    maiñ tūfāñ tūfāñ huuñ sāhil nahīñ huuñ

    mirā soz-e-hastī hai dūr-az nadāmat

    maiñ parvāna huuñ sham-e-mahfil nahīñ huuñ

    fareb-e-mohabbat se ghafil nahin hun

    jo mast-e-junun ho wo dil nahin hun

    unhen azm-e-tark-e-talluq mubarak

    main un ke iradon mein hail nahin hun

    teri bazm se hai bas itna talluq

    ki shamil bhi hun aur shamil nahin hun

    qaum aur aghyar ke mashwaron se

    main aisi inayat ka qail nahin hun

    sambhal kar zara ai mohabbat ki kashti

    main tufan hi tufan hun sahil nahin hun

    mera soz-e-hasti hai dur-az nadamat

    main parwana hun sham-e-mahfil nahin hun

    Source:

    Kulliyat-e-Shakiil Badaayuuni (Pg. 112)

    • Author: Shakiil Badaayuuni
      • Publisher: Farid Book Depot (Pvt.) Ltd
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now