ba-zahir to badan-bhar ka ilaqa gher rakkha hai
ba-zāhir to badan-bhar kā ilāqa gher rakkhā hai
magar andar se ham ne shahr saarā gher rakkhā hai
maiñ paspā fauj-e-dil kā āḳhirī zaḳhmī sipāhī huuñ
magar ik umr se dushman ko tanhā gher rakkhā hai
kabhī is raushnī kī qaid se bāhar bhī niklo tum
hujūm-e-husn ne saara sarāpā gher rakkhā hai
musībat meñ paḌā hai in dinoñ merā dil-e-vahshī
samajh kar shahr vāloñ ne darinda gher rakkhā hai
mohabbat kā ḳhudā huuñ maiñ magar aisā ḳhudā jis ne
baḌī mushkil se apnā ek banda gher rakkhā hai
bahut pahle kabhī paidā hue aur mar ga.e the ham
isī maazī ne mustaqbil hamārā gher rakkhā hai
koī īmān vaalā ahl-e-masjid se kahe jā kar
ḳhudā ko kyuuñ unhoñne kāfirāna gher rakkhā hai
chalo ham farhat-'ehsās' apnā masjid se chhuḌā laa.eñ
ḳhudā vāloñ ne ik kāfir hamārā gher rakkhā hai
ba-zahir to badan-bhar ka ilaqa gher rakkha hai
magar andar se hum ne shahr sara gher rakkha hai
main paspa fauj-e-dil ka aaKHiri zaKHmi sipahi hun
magar ek umr se dushman ko tanha gher rakkha hai
kabhi is raushni ki qaid se bahar bhi niklo tum
hujum-e-husn ne sara sarapa gher rakkha hai
musibat mein paDa hai in dinon mera dil-e-wahshi
samajh kar shahr walon ne darinda gher rakkha hai
mohabbat ka KHuda hun main magar aisa KHuda jis ne
baDi mushkil se apna ek banda gher rakkha hai
bahut pahle kabhi paida hue aur mar gae the hum
isi mazi ne mustaqbil hamara gher rakkha hai
koi iman wala ahl-e-masjid se kahe ja kar
KHuda ko kyun unhonne kafirana gher rakkha hai
chalo hum farhat-'ehsas' apna masjid se chhuDa laen
KHuda walon ne ek kafir hamara gher rakkha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.