farogh-e-husn ki tabaniyan kabhi na gain
faroġh-e-husn kī tābāniyāñ kabhī na ga.iiñ
nigāh-o-dil kī bhī hairāniyāñ kabhī na ga.iiñ
har ek samt se yūrish thī hādsoñ kī magar
samand-e-fikr kī jaulāniyāñ kabhī na ga.iiñ
ḳhizāñ-gazīda bahāroñ ko de rahī haiñ ḳharāj
mirī nigāhoñ kī nādāniyāñ kabhī na ga.iiñ
lab-e-furāt haiñ pahre yazīdiyoñ ke hanūz
sitamgaroñ kī sitam-rāniyāñ kabhī na ga.iiñ
tumhārī teġh-e-sitam kā utar gayā paanī
lahū ke qatroñ kī tābāniyāñ kabhī na ga.iiñ
tamām 'umr musallat thā hijratoñ kā 'azāb
hamārī be-sar-o-sāmāniyāñ kabhī na ga.iiñ
jarāhatoñ ke ḳhazāne gavāhī dete haiñ
matā'-e-ġham kī farāvāniyāñ kabhī na ga.iiñ
bahār-e-sub.h to raunaq dikhā ga.ī apnī
udaas shāmoñ kī vīrāniyāñ kabhī na ga.iiñ
sadā.eñ de ke jagāte rahe sahar ke naqīb
magar hamārī tan-āsāniyāñ kabhī na ga.iiñ
qadam qadam pe hazīmat kā sāmnā 'bahzād'
magar zabāñ kī rajaz-ḳhvāniyāñ kabhī na ga.iiñ
farogh-e-husn ki tabaniyan kabhi na gain
nigah-o-dil ki bhi hairaniyan kabhi na gain
har ek samt se yurish thi hadson ki magar
samand-e-fikr ki jaulaniyan kabhi na gain
KHizan-gazida bahaaron ko de rahi hain KHaraj
meri nigahon ki nadaniyan kabhi na gain
lab-e-furaat hain pahre yazidiyon ke hanuz
sitamgaron ki sitam-raniyan kabhi na gain
tumhaari tegh-e-sitam ka utar gaya pani
lahu ke qatron ki tabaniyan kabhi na gain
tamam 'umr musallat tha hijraton ka 'azab
hamari be-sar-o-samaniyan kabhi na gain
jarahaton ke KHazane gawahi dete hain
mata'-e-gham ki farawaniyan kabhi na gain
bahaar-e-subh to raunaq dikha gai apni
udas shamon ki viraniyan kabhi na gain
sadaen de ke jagate rahe sahar ke naqib
magar hamari tan-asaniyan kabhi na gain
qadam qadam pe hazimat ka samna 'bahzad'
magar zaban ki rajaz-KHwaniyan kabhi na gain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.