faroġh-e-mehr se rindoñ kā āḳhir kaam kyā hogā
zamīñ par daur chaltā hai falak par jaam kyā hogā
ye maiñ jānūñ ki maiñ ne kyuuñ kiyā āġhāz ulfat kā
ye vo jāneñ ki is āġhāz kā anjām kyā hogā
tirā tark-e-sitam tamhīd hai tark-e-ta.alluq kī
mujhe is dil-shikan-ārām se ārām kyā hogā
pareshāñ maiñ nahīñ lekin jafā par tum pashemāñ ho
vafā par merī is se baḌh ke aur ilzām kyā hogā
sharābī hai vahī rag rag meñ jis kī qudratī mai ho
na ho kaif-āfrīñ jo dil vo mai-āshām kyā hogā
ḳhushī hogī davāmī ġham-zadoñ ko jab kabhī hogī
jise har-vaqt ho ārām use ārām kyā hogā
gumāñ thā nek mujh par nek logoñ kā so ab tak hai
magar ab maiñ kahāñ 'nātiq' mujhe ilhām kyā hogā
farogh-e-mehr se rindon ka aaKHir kaam kya hoga
zamin par daur chalta hai falak par jam kya hoga
ye main jaanun ki main ne kyun kiya aaghaz ulfat ka
ye wo jaanen ki is aaghaz ka anjam kya hoga
tera tark-e-sitam tamhid hai tark-e-talluq ki
mujhe is dil-shikan-aram se aaram kya hoga
pareshan main nahin lekin jafa par tum pasheman ho
wafa par meri is se baDh ke aur ilzam kya hoga
sharabi hai wahi rag rag mein jis ki qudrati mai ho
na ho kaif-afrin jo dil wo mai-asham kya hoga
KHushi hogi dawami gham-zadon ko jab kabhi hogi
jise har-waqt ho aaram use aaram kya hoga
guman tha nek mujh par nek logon ka so ab tak hai
magar ab main kahan 'natiq' mujhe ilham kya hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.