farogh-e-sham ka manzar us aaftab mein tha

Basheer Ahmad Shad

farogh-e-sham ka manzar us aaftab mein tha

Basheer Ahmad Shad

MORE BYBasheer Ahmad Shad

  faroġh-e-shām manzar us āftāb meñ thā

  kiran kiran vo ujālā thā par hijāb meñ thā

  tire badan tamāzat thī jis se aag lagī

  chaman meñ barq na sho.ala koī gulāb meñ thā

  mire qarīb rahā phir bhī mujh ko paḌh na sakā

  mirā vajūd to mahfūz ik kitāb meñ thā

  zamāne-bhar nazar se jo bach gayā yaaro

  vo shaḳhs merī nigāhoñ ke intiḳhāb meñ thā

  khulā jo nāma-e-a.amāl hashr meñ merā

  bas ek jurm-e-mohabbat mire hisāb meñ thā

  maiñ āshnā-e-mohabbat to be-qarār thā

  vo āshnā-e-mohabbat na thā azaab meñ thā

  maiñ dekhtā rahā pattharoñ bārish meñ

  mire habīb chehra bhī ik naqāb meñ thā

  farogh-e-sham ka manzar us aaftab mein tha

  kiran kiran wo ujala tha par hijab mein tha

  tere badan ki tamazat thi jis se aag lagi

  chaman mein barq na shoala koi gulab mein tha

  mere qarib raha phir bhi mujh ko paDh na saka

  mera wajud to mahfuz ek kitab mein tha

  zamane-bhar ki nazar se jo bach gaya yaro

  wo shaKHs meri nigahon ke intiKHab mein tha

  khula jo nama-e-amal hashr mein mera

  bas ek jurm-e-mohabbat mere hisab mein tha

  main aashna-e-mohabbat to be-qarar hi tha

  wo aashna-e-mohabbat na tha azab mein tha

  main dekhta hi raha pattharon ki barish mein

  mere habib ka chehra bhi ek naqab mein tha

  0
  COMMENTS
  VIEW COMMENTS

  Additional information available

  Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

  OKAY

  About this sher

  Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

  Close

  rare Unpublished content

  This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

  OKAY