Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

farq jab lazzat-e-ehsas mein paya na gaya

Ali Manzoor Hyderabadi

farq jab lazzat-e-ehsas mein paya na gaya

Ali Manzoor Hyderabadi

MORE BYAli Manzoor Hyderabadi

    farq jab lazzat-e-ehsās meñ paayā na gayā

    dard dekhā na gayā tum ko dikhāyā na gayā

    chuTkiyāñ kaun ye rah rah ke liye jaatā hai

    mere dil meñ to mirī jaañ koī aayā na gayā

    lutf yuuñ ranjish-e-be-jā ke liye pahroñ tak

    be-sabab rūThne vaale ko manāyā na gayā

    ḳhvāb-e-pur-kaif manzar bhī nashāt-āvar thā

    dost ko is liye kuchh der jagāyā na gayā

    man.a kartī jo rahī ḳhanda-jabīnī us

    dard-e-dil apnā kabhī us ko sunāyā na gayā

    ḳhud hañsā vo ye javānī karam-baḳhshī hai

    ḳhusrav-e-husn ko mujh se to hañsāyā na gayā

    de to zabt-e-mohabbat qasam zālim ne

    fā.eda zabt-e-mohabbat batāyā na gayā

    kab dikhātā hai vo barbādī-e-hasrat samāñ

    ḳhaak meñ jab mirī hasrat ko milāyā na gayā

    raushnī jis dikhātī thī mujhe bhuul bhuul

    us qamar-vash vo andāz bhulāyā na gayā

    tuur puurī tarah yaad dilā.ī na ga.ī

    hosh chhīne to ga.e hosh meñ laayā na gayā

    un mashkūk nazar meñ vo mazā thā manzūr

    ki yaqīñ apnī mohabbat dilāyā na gayā

    farq jab lazzat-e-ehsas mein paya na gaya

    dard dekha na gaya tum ko dikhaya na gaya

    chuTkiyan kaun ye rah rah ke liye jata hai

    mere dil mein to meri jaan koi aaya na gaya

    lutf yun ranjish-e-be-ja ke liye pahron tak

    be-sabab ruThne wale ko manaya na gaya

    KHwab-e-pur-kaif ka manzar bhi nashat-awar tha

    dost ko is liye kuchh der jagaya na gaya

    mana karti jo rahi KHanda-jabini us ki

    dard-e-dil apna kabhi us ko sunaya na gaya

    KHud hansa wo ye jawani ki karam-baKHshi hai

    KHusraw-e-husn ko mujh se to hansaya na gaya

    de to di zabt-e-mohabbat ki qasam zalim ne

    faeda zabt-e-mohabbat ka bataya na gaya

    kab dikhata hai wo barbaadi-e-hasrat ka saman

    KHak mein jab meri hasrat ko milaya na gaya

    raushni jis ki dikhati thi mujhe bhul hi bhul

    us qamar-wash ka wo andaz bhulaya na gaya

    tur ki puri tarah yaad dilai na gai

    hosh chhine to gae hosh mein laya na gaya

    un ki mashkuk nazar mein wo maza tha manzur

    ki yaqin apni mohabbat ka dilaya na gaya

    Source:

    Numood-e-Zindagi (Pg. 198)

    • Author: Ali Manzoor Hyderabadi
      • Publisher: Aazam Steam Press, Hyderabad
      • Year of Publication: 1940
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now