Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

farz barson ki ibaadat ka ada ho jaise

Zaheer Kashmiri

farz barson ki ibaadat ka ada ho jaise

Zaheer Kashmiri

MORE BYZaheer Kashmiri

    farz barsoñ ibādat adā ho jaise

    but ko yuuñ puuj rahe haiñ ki ḳhudā ho jaise

    ek pur-pech ġhinā ek harīrī naġhma

    haa.e vo husn ki jañgal sadā ho jaise

    ishq yuuñ vādi-e-hijrāñ meñ huā mahv-e-ḳhirām

    ḳhārzāroñ meñ koī ābla-pā ho jaise

    ārizoñ par vo tire tābish-e-paimān-e-vafā

    chāñdnī raat ke chehre pe hayā ho jaise

    is tarah daaġh damakte haiñ dil-e-vahshī par

    qais ke jism pe phūloñ abā ho jaise

    kitnā dilkash hai tirī yaad paalā huā ashk

    sīna-e-ḳhāk pe mahtāb girā ho jaise

    ratjage vo bhī nashāt-e-ġham-e-mahbūb ke saath

    husn vāloñ ne baḌā kaam kiyā ho jaise

    hijr raat ajab rañg hai paimāne

    dast mai-ḳhvār meñ bujhtā diyā ho jaise

    ḳhāk-e-dil par tire sayyāl tasavvur ḳhirām

    reg-e-sahrā pe ravāñ bād-e-sabā ho jaise

    aaj us shoḳh chitvan ye aalam hai 'zahīr'

    husn apnī adāoñ se ḳhafā ho jaise

    farz barson ki ibaadat ka ada ho jaise

    but ko yun puj rahe hain ki KHuda ho jaise

    ek pur-pech ghina ek hariri naghma

    hae wo husn ki jangal ki sada ho jaise

    ishq yun wadi-e-hijran mein hua mahw-e-KHiram

    KHarzaron mein koi aabla-pa ho jaise

    aarizon par wo tere tabish-e-paiman-e-wafa

    chandni raat ke chehre pe haya ho jaise

    is tarah dagh damakte hain dil-e-wahshi par

    qais ke jism pe phulon ki aba ho jaise

    kitna dilkash hai teri yaad ka pala hua ashk

    sina-e-KHak pe mahtab gira ho jaise

    ratjage wo bhi nashat-e-gham-e-mahbub ke sath

    husn walon ne baDa kaam kiya ho jaise

    hijr ki raat ajab rang hai paimane ka

    dast mai-KHwar mein bujhta sa diya ho jaise

    KHak-e-dil par tere sayyal tasawwur ka KHiram

    reg-e-sahra pe rawan baad-e-saba ho jaise

    aaj us shoKH ki chitwan ka ye aalam hai 'zahir'

    husn apni hi adaon se KHafa ho jaise

    Source:

    Range-e-Gazal (Pg. 272)

    • Author: shahzaad ahmad
      • Edition: 1988
      • Publisher: Ali Printers, 19-A Abate Road, Lahore
      • Year of Publication: 1988
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now