fasil-e-gham ki bulandiyon ko bahaal rakhna bas itna karna

fasil-e-gham ki bulandiyon ko bahaal rakhna bas itna karna
Munawwar Hasan Kamal
MORE BYMunawwar Hasan Kamal
fasīl-e-ġham kī bulandiyoñ ko bahāl rakhnā bas itnā karnā
vafā ke panchhī uḌā na denā niDhāl rakhnā bas itnā karnā
har ek dāman pe is nagar meñ siyāh dhabbe aTe paḌe haiñ
tum apnī pākīza-dāmanī ko sañbhāl rakhnā bas itnā karnā
hamāre ghar ke shanāsā chehre bhī nā-shanāsā se lag rahe haiñ
kahāñ ga.e rū-shanās chehre savāl rakhnā bas itnā karnā
ye dasht-e-ġhurbat kā rāsta hai isī meñ ham sab kī 'āfiyat hai
har ek ḳhvāhish har ik zarūrat ko Taal rakhnā bas itnā karnā
'kamāl' kahnā mirā yahī hai kamāl insāñ kā bas yahī hai
zamīr-o-dil kī bulandiyoñ ko bahāl rakhnā bas itnā karnā
fasil-e-gham ki bulandiyon ko bahaal rakhna bas itna karna
wafa ke panchhi uDa na dena niDhaal rakhna bas itna karna
har ek daman pe is nagar mein siyah dhabbe aTe paDe hain
tum apni pakiza-damani ko sanbhaal rakhna bas itna karna
hamare ghar ke shanasa chehre bhi na-shanasa se lag rahe hain
kahan gae ru-shanas chehre sawal rakhna bas itna karna
ye dasht-e-ghurbat ka rasta hai isi mein hum sab ki 'afiyat hai
har ek KHwahish har ek zarurat ko Tal rakhna bas itna karna
'kamal' kahna mera yahi hai kamal insan ka bas yahi hai
zamir-o-dil ki bulandiyon ko bahaal rakhna bas itna karna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.