Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

fasil-e-reg par itna bharosa kar liya tumne

Vali Madni

fasil-e-reg par itna bharosa kar liya tumne

Vali Madni

MORE BYVali Madni

    fasīl-e-reg par itnā bharosa kar liyā tum ne

    chhateñ bhī Daal diiñ aur darīcha kar liyā tum ne

    ta.ajjub hai ibādat meñ bhī aisā kar liyā tum ne

    nahīñ dil ko jhukāyā aur sajda kar liyā tum ne

    kabhī maanā sharī.at kabhī is se rahe aajiz

    magar da.avā ki dil allāh vaalā kar liyā tum ne

    mohabbat pyaar hamdardī sabhī ko rakh diyā girvī

    husūl-e-aish ḳhātir jo chāhā kar liyā tum ne

    sameTā zindagī bhar kaalī gorī jeb raunaq

    Dhalā jab umr sūraj to tauba kar liyā tum ne

    tahārat tamannā hai na dil meñ haq-pasandī hai

    magar ma.asūm chehra aur labāda kar liyā tum ne

    garāñ-māya amānat thī use mahfūz rakhnā thā

    'valī' pākīza tahzīboñ saudā kar liyā tum ne

    fasil-e-reg par itna bharosa kar liya tum ne

    chhaten bhi Dal din aur wa daricha kar liya tum ne

    tajjub hai ibaadat mein bhi aisa kar liya tum ne

    nahin dil ko jhukaya aur sajda kar liya tum ne

    kabhi mana shariat ki kabhi is se rahe aajiz

    magar dawa ki dil allah wala kar liya tum ne

    mohabbat pyar hamdardi sabhi ko rakh diya girwi

    husul-e-aish ki KHatir jo chaha kar liya tum ne

    sameTa zindagi bhar kali gori jeb ki raunaq

    Dhala jab umr ka suraj to tauba kar liya tum ne

    tahaarat ki tamanna hai na dil mein haq-pasandi hai

    magar masum chehra aur labaada kar liya tum ne

    garan-maya amanat thi use mahfuz rakhna tha

    'wali' pakiza tahzibon ka sauda kar liya tum ne

    Source:

    Izhaar ki faslain (Pg. 90)

    • Author: wali madani
      • Edition: 2013
      • Publisher: Maktaba-e-sadaf
      • Year of Publication: 2013
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now