Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

fasl-e-gul KHak hui jab to sada di tu ne

Shahzad Ahmad

fasl-e-gul KHak hui jab to sada di tu ne

Shahzad Ahmad

MORE BYShahzad Ahmad

    fasl-e-gul ḳhaak huī jab to sadā ne

    ai gul-e-tāza bahut der lagā ne

    terī ḳhushbū se mire dil meñ khile dard ke phuul

    so ga.ī thī jo balā phir se jagā ne

    merī āñkhoñ meñ añdhere ke sivā kuchh bhī na thā

    is ḳharābe meñ ye kyā sham.a jalā ne

    zindagī bhar mujhe jalne ke liye chhoḌ diyā

    sabz pattoñ meñ ye kyā aag lagā ne

    koī sūrat bhī rihā.ī nahīñ rahne

    aisī dīvār pe dīvār banā ne

    maiñ tire haath na chūmūñ to ye nā-shukrī hai

    daulat-e-dard tamannā se sivā ne

    kabhī kah duuñ to zamāna merā dushman ho jaa.e

    dil ko vo baat bhī chup rah ke batā ne

    vo tire paas se chup-chāp guzar kaise gayā

    dil-e-betāb qayāmat na uThā ne

    ise kahne ke liye lafz kahāñ se aa.e

    dāstān-e-shab-e-ġham kaise sunā ne

    us ko bhī us nigāhoñ meñ bahut ḳhvār kiyā

    apnī tauqīr bhī miTTī meñ milā ne

    kaash vāpas tujhe goyā.ī na miltī 'shahzād'

    bol kar aaj bahut baat baḌhā ne

    fasl-e-gul KHak hui jab to sada di tu ne

    ai gul-e-taza bahut der laga di tu ne

    teri KHushbu se mere dil mein khile dard ke phul

    so gai thi jo bala phir se jaga di tu ne

    meri aankhon mein andhere ke siwa kuchh bhi na tha

    is KHarabe mein ye kya shama jala di tu ne

    zindagi bhar mujhe jalne ke liye chhoD diya

    sabz patton mein ye kya aag laga di tu ne

    koi surat bhi rihai ki nahin rahne di

    aisi diwar pe diwar bana di tu ne

    main tere hath na chumun to ye na-shukri hai

    daulat-e-dard tamanna se siwa di tu ne

    kabhi kah dun to zamana mera dushman ho jae

    dil ko wo baat bhi chup rah ke bata di tu ne

    wo tere pas se chup-chap guzar kaise gaya

    dil-e-betab qayamat na uTha di tu ne

    ise kahne ke liye lafz kahan se aae

    dastan-e-shab-e-gham kaise suna di tu ne

    us ko bhi us ki nigahon mein bahut KHwar kiya

    apni tauqir bhi miTTi mein mila di tu ne

    kash wapas tujhe goyai na milti 'shahzad'

    bol kar aaj bahut baat baDha di tu ne

    Source:

    Deewar pe dastak (Pg. 578)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now