aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

fasl-e-gul ko zid hai zaKHm dil ka hara kaise ho

Zafar Ghauri

fasl-e-gul ko zid hai zaKHm dil ka hara kaise ho

Zafar Ghauri

MORE BYZafar Ghauri

    fasl-e-gul ko zid hai zaḳhm dil harā kaise ho

    chāñdnī bhī Das rahī hai ġham davā kaise ho

    raat balā.eñ Talīñ to shāḳh-e-sub.h se utar

    sāhiloñ se pūchhtī hai mauj-e-sabā kaise ho

    vaqt navāzishoñ ne ḳhuun kar diyā safed

    sargirāñ the ham guloñ se rañg judā kaise ho

    āsmāñ bhī thak gayā hai sar pe TuuT TuuT ke

    chalte chalte hai zamīñ bhī ābla-pā kaise ho

    tan chāñd Dhal gayā to vo bhī bujh ke rah ga.ī

    maiñ bhī sañg-e-be-hisī se TuuT gayā kaise ho

    merā sar hai is zaḳhm-e-lutf se jhukā huā

    us dil bhī ġham se mere ohda-barā kaise ho

    nazr-e-jāñ bhī pesh to muskurā ke pheñk

    apne sar se zindagī qarz adā kaise ho

    zindagī se chal rahī hai is tarah 'zafar' ki bas!

    radd-o-kad bahr-taraf hai us burā kaise ho

    fasl-e-gul ko zid hai zaKHm dil ka hara kaise ho

    chandni bhi Das rahi hai gham ki dawa kaise ho

    raat ki balaen Talin to shaKH-e-subh se utar

    sahilon se puchhti hai mauj-e-saba kaise ho

    waqt ki nawazishon ne KHun kar diya safed

    sargiran the hum gulon se rang juda kaise ho

    aasman bhi thak gaya hai sar pe TuT TuT ke

    chalte chalte hai zamin bhi aabla-pa kaise ho

    tan ka chand Dhal gaya to wo bhi bujh ke rah gai

    main bhi sang-e-be-hisi se TuT gaya kaise ho

    mera sar hai is zaKHm-e-lutf se jhuka hua

    us ka dil bhi gham se mere ohda-bara kaise ho

    nazr-e-jaan bhi pesh ki to muskura ke phenk di

    apne sar se zindagi ka qarz ada kaise ho

    zindagi se chal rahi hai is tarah 'zafar' ki bas!

    radd-o-kad bahr-taraf hai us ka bura kaise ho

    Source:

    Shab Khoon(Shumara Number-059) (Pg. ebook-63 page-61)

      • Edition: 1971
      • Publisher: Aqeela Shaheen
      • Year of Publication: 1971
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now