Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

fasl-e-junun ke bab mein humne jo bhi kahani likhi hai

Syed Ashoor Kazmi

fasl-e-junun ke bab mein humne jo bhi kahani likhi hai

Syed Ashoor Kazmi

MORE BYSyed Ashoor Kazmi

    fasl-e-junūñ ke baab meñ ham ne jo bhī kahānī likhī hai

    manzar-nāma jaisā bhī ho baat hamārī apnī hai

    arz-e-vatan se aane vaale des kuchh ahvāl sunā

    ḳhauf chādar oḌhe baiThī qaum hālat kaisī hai

    zindābād na kahne vaale kitne bāġhī qatl hue

    muhr-ba-lab logoñ ke ghar kyā sach-much roTī paktī hai

    kitne bachchoñ mustaqbil tauq-e-asīrī pahne hai

    kitne raushan chehroñ par tahrīr ġhulāmī likkhī hai

    marne vaale mārne vaale ek ghar meñ rahte haiñ

    chaukhaT chaukhaT bahne vaale ḳhuun rangat kaisī hai

    kyā koī daar pe sajne vaalā in rāhoñ se guzrā hai

    shahr ke saare rastoñ par ye kaisī gahmā-gahmī hai

    tahzīboñ ke jangal meñ ye kaisā mohazzab aaqā hai

    jis ne har insān qīmat sirf ik golī rakkhī hai

    ḳhvāboñ ta.abīr na DhūñDo ta.abīroñ se ḳhvāb buno

    har dil ko jo chhū kar guzre ye vo kahāvat lagtī hai

    aaj hameñ 'āshūr' kisī ne behis qaum fard kahā

    lahja talḳh thā lafz bure the baat to shāyad sachchī hai

    fasl-e-junun ke bab mein hum ne jo bhi kahani likhi hai

    manzar-nama jaisa bhi ho baat hamari apni hai

    arz-e-watan se aane wale des ka kuchh ahwal suna

    KHauf ki chadar oDhe baiThi qaum ki haalat kaisi hai

    zindabaad na kahne wale kitne baghi qatl hue

    muhr-ba-lab logon ke ghar kya sach-much roTi pakti hai

    kitne bachchon ka mustaqbil tauq-e-asiri pahne hai

    kitne raushan chehron par tahrir ghulami likkhi hai

    marne wale marne wale ek hi ghar mein rahte hain

    chaukhaT chaukhaT bahne wale KHun ki rangat kaisi hai

    kya koi dar pe sajne wala in rahon se guzra hai

    shahr ke sare raston par ye kaisi gahma-gahmi hai

    tahzibon ke jangal mein ye kaisa mohazzab aaqa hai

    jis ne har insan ki qimat sirf ek goli rakkhi hai

    KHwabon ki tabir na DhunDo tabiron se KHwab buno

    har dil ko jo chhu kar guzre ye wo kahawat lagti hai

    aaj hamein 'ashur' kisi ne behis qaum ka fard kaha

    lahja talKH tha lafz bure the baat to shayad sachchi hai

    Source:

    Harf Harf Junoon (Pg. 42)

    • Author: Syed Ashoor Kazmi
      • Publisher: Saraswati Offset Press, Allahabad
      • Year of Publication: 1999
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now