Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

fasl-e-KHizan mein sair jo ki humne ja-e-gul

Meer Taqi Meer

fasl-e-KHizan mein sair jo ki humne ja-e-gul

Meer Taqi Meer

MORE BYMeer Taqi Meer

    fasl-e-ḳhizāñ meñ sair jo ham ne jā-e-gul

    chhānī chaman ḳhaak na thā naqsh-e-pā-e-gul

    allāh re andalīb āvāz-e-dil-ḳharāsh

    nikal gayā jo kahā un ne haa.e gul

    maqdūr tak sharāb se rakh añkhḌiyoñ meñ rañg

    ye chashmak-e-pyāla hai saaqī havā-e-gul

    ye dekh siina daaġh se rashk-e-chaman hai yaañ

    bulbul sitam huā na jo ne bhī khaa.e gul

    bulbul hazār se ḳharīdār us hai

    ai gul-farosh kariyo samajh kar bahā-e-gul

    niklā hai aisī ḳhaak se kis sāda-rū ye

    qābil durūd bhejne ke hai safā-e-gul

    baare sarishk-e-surḳh ke dāġhoñ se raat ko

    bistar par apne sote the ham bhī bichhā.e gul

    aa andalīb sulh kareñ jañg ho chukī

    le ai zabāñ-darāz sab kuchh sivā.e gul

    gulchīñ samajh ke chuniyo ki gulshan meñ 'mīr' ke

    laḳht-e-jigar paḌe haiñ nahīñ barg-hā-e-gul

    fasl-e-KHizan mein sair jo ki hum ne ja-e-gul

    chhani chaman ki KHak na tha naqsh-e-pa-e-gul

    allah re andalib ki aawaz-e-dil-KHarash

    ji hi nikal gaya jo kaha un ne hae gul

    maqdur tak sharab se rakh ankhDiyon mein rang

    ye chashmak-e-pyala hai saqi hawa-e-gul

    ye dekh sina dagh se rashk-e-chaman hai yan

    bulbul sitam hua na jo tu ne bhi khae gul

    bulbul hazar ji se KHaridar us ki hai

    ai gul-farosh kariyo samajh kar baha-e-gul

    nikla hai aisi KHak se kis sada-ru ki ye

    qabil durud bhejne ke hai safa-e-gul

    bare sarishk-e-surKH ke daghon se raat ko

    bistar par apne sote the hum bhi bichhae gul

    aa andalib sulh karen jang ho chuki

    le ai zaban-daraaz tu sab kuchh siwae gul

    gulchin samajh ke chuniyo ki gulshan mein 'mir' ke

    laKHt-e-jigar paDe hain nahin barg-ha-e-gul

    Source:

    MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0264

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now