Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

faza aisi ba-faiz-e-baghban malum hoti hai

Saadat Aabidi

faza aisi ba-faiz-e-baghban malum hoti hai

Saadat Aabidi

MORE BYSaadat Aabidi

    fazā aisī ba-faiz-e-bāġhbāñ ma.alūm hotī hai

    bahār-e-gulsitāñ misl-e-ḳhizāñ ma.alūm hotī hai

    kuchh apnoñ karam hai kuchh nigāh-e-asr-e-hāzir hai

    hayāt ik hasratoñ dāstāñ ma.alūm hotī hai

    ajab tahqīr tafrīq-o-be-zārī nafrat

    darūn-e-qalb mīr-e-kārvāñ ma.alūm hotī hai

    diloñ meñ masjidoñ meñ mandiroñ meñ dars-gāhoñ meñ

    siyāsat siyāsat hukmrāñ ma.alūm hotī hai

    girānī rishvateñ ghaple ġhaban ifsād golī bam

    yahī āzādī-e-hindostāñ ma.alūm hotī hai

    ḳhushāmad is qadar bhī sāthiyo achchhī nahīñ lagtī

    tumhāre muñh meñ auroñ zabāñ ma.alūm hotī hai

    'sa.ādat' jhāñk un ke dil meñ ḳhud nafrat bharī hogī

    ye duniyā jin ko nafrat jahāñ ma.alūm hotī hai

    faza aisi ba-faiz-e-baghban malum hoti hai

    bahaar-e-gulsitan misl-e-KHizan malum hoti hai

    kuchh apnon ka karam hai kuchh nigah-e-asr-e-hazir hai

    hayat ek hasraton ki dastan malum hoti hai

    ajab tahqir si tafriq-o-be-zari si nafrat si

    darun-e-qalb mir-e-karwan malum hoti hai

    dilon mein masjidon mein mandiron mein dars-gahon mein

    siyasat hi siyasat hukmran malum hoti hai

    girani rishwaten ghaple ghaban ifsad goli bam

    yahi aazadi-e-hindostan malum hoti hai

    KHushamad is qadar bhi sathiyo achchhi nahin lagti

    tumhaare munh mein auron ki zaban malum hoti hai

    'saadat' jhank un ke dil mein KHud nafrat bhari hogi

    ye duniya jin ko nafrat ka jahan malum hoti hai

    Source:

    (Pg. 61)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now