Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

faza-e-adamiyat ko sanwarne hi nahin dete

Charan Singh Bashar

faza-e-adamiyat ko sanwarne hi nahin dete

Charan Singh Bashar

MORE BYCharan Singh Bashar

    fazā-e-ādamiyat ko sañvarne nahīñ dete

    siyāsat-dāñ diloñ ke zaḳhm bharne nahīñ dete

    zamāna vo bhī thā jab hādse Dar satātā thā

    magar ab hādse logoñ ko Darne nahīñ dete

    kuchh ham ne ḳhvāb aise paal rakkhe haiñ ki jo ham ko

    haqīqat zamīñ par paañv rakhne nahīñ dete

    ye maanā ishq se bantī hai jannat zindagī lekin

    masā.il zindagī se ishq karne nahīñ dete

    guzargāhoñ ke aage manzileñ āvāz detī haiñ

    magar Thahre hue lamhe guzarne nahīñ dete

    'bashar' be-rahm haiñ ye parbatoñ jaise usuul apne

    kisī ke dil vaadī meñ utarne nahīñ dete

    faza-e-adamiyat ko sanwarne hi nahin dete

    siyasat-dan dilon ke zaKHm bharne hi nahin dete

    zamana wo bhi tha jab hadse ka Dar satata tha

    magar ab hadse logon ko Darne hi nahin dete

    kuchh hum ne KHwab aise pal rakkhe hain ki jo hum ko

    haqiqat ki zamin par panw rakhne hi nahin dete

    ye mana ishq se banti hai jannat zindagi lekin

    masail zindagi se ishq karne hi nahin dete

    guzargahon ke aage manzilen aawaz deti hain

    magar Thahre hue lamhe guzarne hi nahin dete

    'bashar' be-rahm hain ye parbaton jaise usul apne

    kisi ke dil ki wadi mein utarne hi nahin dete

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now