faza-e-ishq-o-hawas mushk-bar karta hua
fazā-e-'ishq-o-havas mushk-bār kartā huā
hai kaun ḳhāk-e-badan ko ġhubār kartā huā
bas ik irāda ki ik baar apnā ho jā.ūñ
hazār tarh se be-iḳhtiyār kartā huā
tire jamāl ke jauhar ko taab detā thā
mirā nasheb tujhe ābshār kartā huā
lahū meñ ghultā huā sā tumhārā rang-e-talab
maiñ kār-e-hosh bhī dīvāna-vār kartā huā
hamāre zard gulāboñ kā surḳh-rū honā
'adū ke sīna-e-ḳhanjar pe vaar kartā huā
rihā.ī duniyā ke 'ifrīt se dilāte hue
phir 'ishq thā mirī duniyā shikār kartā huā
farishte jhūmte sar dhunte vajd karte hue
maiñ terī hamd ke daane shumār kartā huā
faza-e-'ishq-o-hawas mushk-bar karta hua
hai kaun KHak-e-badan ko ghubar karta hua
bas ek irada ki ek bar apna ho jaun
hazar tarh se be-iKHtiyar karta hua
tere jamal ke jauhar ko tab deta tha
mera nasheb tujhe aabshaar karta hua
lahu mein ghulta hua sa tumhaara rang-e-talab
main kar-e-hosh bhi diwana-war karta hua
hamare zard gulabon ka surKH-ru hona
'adu ke sina-e-KHanjar pe war karta hua
rihai duniya ke 'ifrit se dilate hue
phir 'ishq tha meri duniya shikar karta hua
farishte jhumte sar dhunte wajd karte hue
main teri hamd ke dane shumar karta hua
- Book : Jism Ka Bartan Sard Pada Hai (Pg. 31)
- Author : Ameer Hamza Saqib
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.