Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

faza-e-sehn-e-gulstan hai sogwar abhi

Sharif kunjahi

faza-e-sehn-e-gulstan hai sogwar abhi

Sharif kunjahi

MORE BYSharif kunjahi

    fazā-e-sehn-e-gulstāñ hai sogvār abhī

    ḳhizāñ qaid meñ hai yūsuf-e-bahār abhī

    abhī chaman pe chaman gumāñ nahīñ hotā

    qabā-e-ġhuncha ko honā hai taar taar abhī

    abhī hai ḳhanda-e-gul bhī agar to zer-e-labī

    rukā rukā hai kuchh naġhma-e-hazār abhī

    chaman to ḳhair chaman hai navā-garoñ ko nahīñ

    ḳhud apnī shāḳh-e-nasheman pe iḳhtiyār abhī

    abhī umiid sarsoñ kahīñ na phūlī

    basant hai zamāne ko intizār abhī

    tahī-subūī kisī ye kah rahī hai 'sharīf'

    nizām-e-mai-kada badlegā ek baar abhī

    faza-e-sehn-e-gulstan hai sogwar abhi

    KHizan ki qaid mein hai yusuf-e-bahaar abhi

    abhi chaman pe chaman ka guman nahin hota

    qaba-e-ghuncha ko hona hai tar tar abhi

    abhi hai KHanda-e-gul bhi agar to zer-e-labi

    ruka ruka sa hai kuchh naghma-e-hazar abhi

    chaman to KHair chaman hai nawa-garon ko nahin

    KHud apni shaKH-e-nasheman pe iKHtiyar abhi

    abhi umid ki sarson kahin na phuli

    basant ka hai zamane ko intizar abhi

    tahi-subui kisi ki ye kah rahi hai 'sharif'

    nizam-e-mai-kada badlega ek bar abhi

    Source:

    Funoon(Jadeed Ghazal Number: Volume-002) (Pg. 190)

      • Edition: 1969
      • Publisher: Ahmad Nadeem Qasmi
      • Year of Publication: 1969
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now