Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

faza-e-zehn ki jalti hawa badalne tak

Sanjay Mishra Shauq

faza-e-zehn ki jalti hawa badalne tak

Sanjay Mishra Shauq

MORE BYSanjay Mishra Shauq

    fazā-e-zehn jaltī havā badalne tak

    maiñ bujh na jā.ūñ lihāf-e-anā badalne tak

    charāġh-e-jism meñ is baar bujh na jā.ūñ maiñ

    havā-e-ḳhema-e-shab ridā badalne tak

    phir aaj kuufe se hijrat bahut zarūrī hai

    palaT ke ā.eñge āb-o-havā badalne tak

    ajiib log haiñ duniyā tirī havas ke liye

    tule hue haiñ ḳhud apnā ḳhudā badalne tak

    kashīd karte haiñ zindāñ vādiyoñ se umiid

    qafas badalne haiñ zanjīr-e-pā badalne tak

    usuul kaañp rahe the badan bhaTTī meñ

    qanā.atoñ mukammal fazā badalne tak

    mire lahū namak chakh liyā hai us ne bhī

    vo ḳhush rahegā bahut zā.iqa badalne tak

    safed barf pe nāchī bahār jī-bhar ke

    nizām-e-qudrat-e-kohna badalne tak

    faza-e-zehn ki jalti hawa badalne tak

    main bujh na jaun lihaf-e-ana badalne tak

    charagh-e-jism mein is bar bujh na jaun main

    hawa-e-KHema-e-shab ki rida badalne tak

    phir aaj kufe se hijrat bahut zaruri hai

    palaT ke aaenge aab-o-hawa badalne tak

    ajib log hain duniya teri hawas ke liye

    tule hue hain KHud apna KHuda badalne tak

    kashid karte hain zindan ki wadiyon se umid

    qafas badalne hain zanjir-e-pa badalne tak

    usul kanp rahe the badan ki bhaTTi mein

    qanaaton ki mukammal faza badalne tak

    mere lahu ka namak chakh liya hai us ne bhi

    wo KHush rahega bahut zaiqa badalne tak

    safed barf pe nachi bahaar ji-bhar ke

    nizam-e-qudrat-e-kohna ki ja badalne tak

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now