aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

fazaon se guzarta ja raha hun

Qaisar Siddiqi

fazaon se guzarta ja raha hun

Qaisar Siddiqi

MORE BYQaisar Siddiqi

    fazāoñ se guzartā rahā huuñ

    ḳhalāoñ meñ bikhartā rahā huuñ

    maiñ registān meñ baiThā huuñ lekin

    samundar meñ utartā rahā huuñ

    zamāna lamha lamha rahā hai

    maiñ lamha lamha martā rahā huuñ

    vo jitne duur hote rahe haiñ

    maiñ utnā sañvartā rahā huuñ

    chalā huuñ apne se do haat karne

    magar ḳhud se bhī Dartā rahā huuñ

    maiñ nuqta ban ke ik markaz pe yaaro

    na jaane kyuuñ Thahartā rahā huuñ

    miTāne par bhī maiñ urdu mānind

    sañvartā aur nikhartā rahā huuñ

    maiñ kaalī jhiil meñ Duubā thā ḳhud

    magar ḳhud ubhartā rahā huuñ

    maiñ 'qaisar' apnī āñkhoñ se Tapak kar

    kisī dil meñ utartā rahā huuñ

    fazaon se guzarta ja raha hun

    KHalaon mein bikharta ja raha hun

    main registan mein baiTha hun lekin

    samundar mein utarta ja raha hun

    zamana lamha lamha ji raha hai

    main lamha lamha marta ja raha hun

    wo jitne dur hote ja rahe hain

    main utna hi sanwarta ja raha hun

    chala hun apne se do hat karne

    magar KHud se bhi Darta ja raha hun

    main nuqta ban ke ek markaz pe yaro

    na jaane kyun Thaharta ja raha hun

    miTane par bhi main urdu ki manind

    sanwarta aur nikharta ja raha hun

    main kali jhil mein Duba tha KHud hi

    magar KHud hi ubharta ja raha hun

    main 'qaisar' apni aankhon se Tapak kar

    kisi dil mein utarta ja raha hun

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now