kaba banaiye na kalisa banaiye
ka.aba banā.iye na kalīsā banā.iye
dil ko tasavvurāt kī duniyā banā.iye
tasvīr-e-husn khīñchiye majnūñ ke bhes meñ
ā.īna-e-ḳhayāl ko lailā banā.iye
hirs-o-havā-e-dār-e-fanā se ġharaz nahīñ
duniyā se khoiye mujhe apnā banā.iye
dīvāngī-e-ishq ko rusvā na kījiye
lailā ko qais qais ko lailā banā.iye
hai fitrat-e-nazar kā taqāzā ye baar baar
muusā banā.iye mujhe muusā banā.iye
kyuuñ nazm-e-husn-o-ishq ko tabdīl kar diyā
kis ne kahā thā qais ko lailā banā.iye
pahle nazar ko tāqat-e-nazzāra dījiye
phir iḳhtiyār hai mujhe muusā banā.iye
sidq-o-safā ke sāñche meñ phir dil ko Dhaal kar
mehr-o-vafā kā gauhar-e-yaktā banā.iye
jal kar bhī soz-e-ishq meñ uf tak na kījiye
dil ko sukūn-o-zabt kā putlā banā.iye
'kulsūm' zindagī kā guzarnā muhāl hai
duniyā ko ik hasīn tamāshā banā.iye
kaba banaiye na kalisa banaiye
dil ko tasawwuraat ki duniya banaiye
taswir-e-husn khinchiye majnun ke bhes mein
aaina-e-KHayal ko laila banaiye
hirs-o-hawa-e-dar-e-fana se gharaz nahin
duniya se khoiye mujhe apna banaiye
diwangi-e-ishq ko ruswa na kijiye
laila ko qais qais ko laila banaiye
hai fitrat-e-nazar ka taqaza ye bar bar
musa banaiye mujhe musa banaiye
kyun nazm-e-husn-o-ishq ko tabdil kar diya
kis ne kaha tha qais ko laila banaiye
pahle nazar ko taqat-e-nazzara dijiye
phir iKHtiyar hai mujhe musa banaiye
sidq-o-safa ke sanche mein phir dil ko Dhaal kar
mehr-o-wafa ka gauhar-e-yakta banaiye
jal kar bhi soz-e-ishq mein uf tak na kijiye
dil ko sukun-o-zabt ka putla banaiye
'kulsum' zindagi ka guzarna muhaal hai
duniya ko ek hasin tamasha banaiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.