fikr ki had se guzarti hi gai
fikr kī had se guzartī hī ga.ī
'ishq dariyā meñ utartī hī ga.ī
rang jaane kaise us ne bhar diye
merī chhab har pal nikhartī hī ga.ī
vaqt huuñ maiñ koī kaise roktā
yā'nī maiñ har pal guzartī hī ga.ī
jab na thī sūrat rihā.ī kī to vo
bāl-o-par apne katartī hī ga.ī
sarsarī kah dī thī us ne baat jo
mere dil meñ vo utartī hī ga.ī
pyaar ne us ko sameTā thā magar
vo simaT kar bhī bikhartī hī ga.ī
ġharq ho kar bhī bahūr-e-'ishq se
jab maiñ ubhrī to ubhartī hī ga.ī
fikr ki had se guzarti hi gai
'ishq dariya mein utarti hi gai
rang jaane kaise us ne bhar diye
meri chhab har pal nikharti hi gai
waqt hun main koi kaise rokta
ya'ni main har pal guzarti hi gai
jab na thi surat rihai ki to wo
baal-o-par apne katarti hi gai
sarsari kah di thi us ne baat jo
mere dil mein wo utarti hi gai
pyar ne us ko sameTa tha magar
wo simaT kar bhi bikharti hi gai
gharq ho kar bhi bahur-e-'ishq se
jab main ubhri to ubharti hi gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.