Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

fikr kyun hai qayam karne ki

Syed Mohammad Zafar, Ashk Sanbhali

fikr kyun hai qayam karne ki

Syed Mohammad Zafar, Ashk Sanbhali

MORE BYSyed Mohammad Zafar, Ashk Sanbhali

    fikr kyuuñ hai qayām karne

    koī manzil nahīñ Thaharne

    daam tak le ga.ī mujhe parvāz

    dushmanī mere bāl-o-par ne

    us sitamgar ke jaur-e-paiham se

    kis ko fursat hai aah bharne

    jaane kyuuñ hādse nahīñ hote

    jab se Thānī hai dil meñ marne

    vo bhī ab ro rahe haiñ soch ke kuchh

    thī ḳhushī jin ko mere marne

    husn har adā zad pe rahe

    kitnī jur.at dil-o-jigar ne

    dekh kar mujh ko ruḳh badal jaatā

    ek sūrat hai pyaar karne

    kis tavaqqo pe 'ashk' ham jiite

    gar na hotī umiid marne

    fikr kyun hai qayam karne ki

    koi manzil nahin Thaharne ki

    dam tak le gai mujhe parwaz

    dushmani mere baal-o-par ne ki

    us sitamgar ke jaur-e-paiham se

    kis ko fursat hai aah bharne ki

    jaane kyun hadse nahin hote

    jab se Thani hai dil mein marne ki

    wo bhi ab ro rahe hain soch ke kuchh

    thi KHushi jin ko mere marne ki

    husn ki har ada ki zad pe rahe

    kitni jurat dil-o-jigar ne ki

    dekh kar mujh ko ruKH badal jata

    ek surat hai pyar karne ki

    kis tawaqqo pe 'ashk' hum jite

    gar na hoti umid marne ki

    Source:

    Amwaj-e-Taghazzul (Pg. 83)

    • Author: Syed Mohammad Zafar, Ashk Sanbhali
      • Edition: 1947
      • Publisher: Syed Mohammad Zafar, Ashk Sanbhali
      • Year of Publication: 1947
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now