Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

fikr mein Dube the sab aur ba-hunar koi na tha

Zakir Khan Zakir

fikr mein Dube the sab aur ba-hunar koi na tha

Zakir Khan Zakir

MORE BYZakir Khan Zakir

    fikr meñ Duube the sab aur bā-hunar koī na thā

    zindagī shāḳh par puḳhta samar koī na thā

    rahe the apnī apnī dhun meñ sab ġhazleñ magar

    'mīr'-o-'ġhālib' 'dāġh'-o-'hasrat' 'jigar' koī na thā

    rāt-bhar zulmat meñ lipTī bastiyāñ kahtī rahīñ

    chāñd taare kahkashāñ jugnū qamar koī na thā

    dekhne meñ yuuñ ba-zāhir sab hamāre saath the

    jab saroñ par dhuup aa.ī ham-safar koī na thā

    ḳhuun ke rishtoñ garmī sard thī chāroñ taraf

    sab tasallī de rahe the chāragar koī na thā

    rind-o-zāhid shaiḳh-o-sūfī sab ke sab tishna the

    kis ko dete mai-kada jab mo'atabar koī na thā

    phir ye sochā likh bhejūñ hāl-e-dil us ko magar

    uḌ chuke the sab kabūtar nāma-bar koī na thā

    zindagī-bhar bhīgtī palkeñ thiiñ us muntazir

    ham se baḌh kar ḳhud se 'zākir' be-ḳhabar koī na thā

    fikr mein Dube the sab aur ba-hunar koi na tha

    zindagi ki shaKH par puKHta samar koi na tha

    ga rahe the apni apni dhun mein sab ghazlen magar

    'mir'-o-'ghaalib' 'dagh'-o-'hasrat' ya 'jigar' koi na tha

    raat-bhar zulmat mein lipTi bastiyan kahti rahin

    chand tare kahkashan jugnu qamar koi na tha

    dekhne mein yun ba-zahir sab hamare sath the

    jab saron par dhup aai ham-safar koi na tha

    KHun ke rishton ki garmi sard thi chaaron taraf

    sab tasalli de rahe the chaaragar koi na tha

    rind-o-zahid shaiKH-o-sufi sab ke sab tishna hi the

    kis ko dete mai-kada jab mo'atabar koi na tha

    phir ye socha likh hi bhejun haal-e-dil us ko magar

    uD chuke the sab kabutar nama-bar koi na tha

    zindagi-bhar bhigti palken thin us ki muntazir

    hum se baDh kar KHud se 'zakir' be-KHabar koi na tha

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now