Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

fikr soi hai sar-e-sham jaga di jae

Arshad Kamal

fikr soi hai sar-e-sham jaga di jae

Arshad Kamal

MORE BYArshad Kamal

    fikr soī hai sar-e-shām jagā jaa.e

    ek bujhtī añgīThī ko havā jaa.e

    kisī jañgal meñ agar ho to bujhā jaa.e

    kaise tan-man meñ lagī aag dabā jaa.e

    talḳhi-e-zīst shiddat taqāza hai yahī

    zehn o dil meñ jo masāfat hai ghaTā jaa.e

    tīrgī shab basī jaa.e hai hastī meñ mirī

    sub.h ko ke ye rūdād sunā jaa.e

    ishq vāloñ fuġhāñ zabt-e-fuġhāñ hotī hai

    āshiq-e-vaqt ko ye baat batā jaa.e

    ḳhāk-e-sahrā to bahut duur hai ai vahshat-e-dil

    kyuuñ na zehnoñ pe jamī gard uḌā jaa.e

    vo haqīqat jo nigāhoñ se ayaañ hotī hai

    kaise ādāb ke parde meñ chhupā jaa.e

    fikr soi hai sar-e-sham jaga di jae

    ek bujhti si angiThi ko hawa di jae

    kisi jangal mein agar ho to bujha di jae

    kaise tan-man mein lagi aag daba di jae

    talKHi-e-zist ki shiddat ka taqaza hai yahi

    zehn o dil mein jo masafat hai ghaTa di jae

    tirgi shab ki basi jae hai hasti mein meri

    subh ko ja ke ye rudad suna di jae

    ishq walon ki fughan zabt-e-fughan hoti hai

    aashiq-e-waqt ko ye baat bata di jae

    KHak-e-sahra to bahut dur hai ai wahshat-e-dil

    kyun na zehnon pe jami gard uDa di jae

    wo haqiqat jo nigahon se ayan hoti hai

    kaise aadab ke parde mein chhupa di jae

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now