Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

firaq-asar lamhon ki duhai kaun dega

Mansoora Ahmad

firaq-asar lamhon ki duhai kaun dega

Mansoora Ahmad

MORE BYMansoora Ahmad

    firāq-āsār lamhoñ duhā.ī kaun degā

    tire chehre ke sūraj meñ dikhā.ī kaun degā

    mujhe ik baat kahnā hai use kitne yugoñ se

    magar sahrā vus.at meñ sunā.ī kaun degā

    jo ik bekal ḳhushbū mere andar phūTtī hai

    use us ke darīche tak rasā.ī kaun degā

    kisī qaid se chhuTnā to ḳhair ik mas.ala hai

    mujhe mere zindāñ se rihā.ī kaun degā

    maiñ sultāñ ke dar-e-daulat pe ik dastak to de luuñ

    magar is haath ko zauq-e-gadā.ī kaun degā

    firaq-asar lamhon ki duhai kaun dega

    tere chehre ke suraj mein dikhai kaun dega

    mujhe ek baat kahna hai use kitne yugon se

    magar sahra ki wusat mein sunai kaun dega

    jo ek bekal si KHushbu mere andar phuTti hai

    use us ke dariche tak rasai kaun dega

    kisi ki qaid se chhuTna to KHair ek masala hai

    mujhe mere hi zindan se rihai kaun dega

    main sultan ke dar-e-daulat pe ek dastak to de lun

    magar is hath ko zauq-e-gadai kaun dega

    Source:

    Tuloo (Pg. 134)

    • Author: Mansoora Ahmad
      • Publisher: Asateer, Lahore
      • Year of Publication: 1997
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now