firaq aisa mayassar ho na jae
firāq aisā mayassar ho na jaa.e
ki jiinā merā dūbhar ho na jaa.e
paḌe rahne se bistar par akele
hamārā haal bad-tar ho na jaa.e
khuleñ gar āsmānoñ meñ darīche
falak kā raaz azbar ho na jaa.e
mujhe ye fikr 'ādil' ho ga.ī hai
ki marne kā mujhe Dar ho na jaa.e
firaq aisa mayassar ho na jae
ki jina mera dubhar ho na jae
paDe rahne se bistar par akele
hamara haal bad-tar ho na jae
khulen gar aasmanon mein dariche
falak ka raaz azbar ho na jae
mujhe ye fikr 'adil' ho gai hai
ki marne ka mujhe Dar ho na jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.