Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

firaq-e-dost mein aisa meri wahshat ka saman tha

Saqib Rampuri

firaq-e-dost mein aisa meri wahshat ka saman tha

Saqib Rampuri

MORE BYSaqib Rampuri

    firāq-e-dost meñ aisā mirī vahshat sāmāñ thā

    ki vus.at meñ har ik zarra mire ghar bayābāñ thā

    batā.e shauq-e-dil us bazm meñ jaanā kuchh āsāñ thā

    idhar taqdīr sotī thī udhar bedār darbāñ thā

    gale mil kar judā honā mire miTne sāmāñ thā

    tire jaate maiñ dīvāna merā ghar bayābāñ thā

    junūn-e-ishq rahbar ho to phir kyā qaid manzil

    vo majnūñ huuñ ki dasht-e-najd mujh ko har bayābāñ thā

    maiñ be-ḳhud thā magar ai josh-e-vahshat hosh hai itnā

    mire hāthoñ se ḳhud uljhā huā merā garebāñ thā

    vatan ḳhaak tujh ko yaad kar ke ham bahut ro.e

    ki tujh se duur the aur shām-e-ġhurbat thī bayābāñ thā

    kisī se apnī barbādī shikva kyā karūñ 'sāqib'

    ki merā dil-e-vārafta merā dushman-e-jāñ thā

    firaq-e-dost mein aisa meri wahshat ka saman tha

    ki wusat mein har ek zarra mere ghar ka bayaban tha

    batae shauq-e-dil us bazm mein jaana kuchh aasan tha

    idhar taqdir soti thi udhar bedar darban tha

    gale mil kar juda hona mere miTne ka saman tha

    tere jate hi main diwana mera ghar bayaban tha

    junun-e-ishq rahbar ho to phir kya qaid manzil ki

    wo majnun hun ki dasht-e-najd mujh ko har bayaban tha

    main be-KHud tha magar ai josh-e-wahshat hosh hai itna

    mere hathon se KHud uljha hua mera gareban tha

    watan ki KHak tujh ko yaad kar ke hum bahut roe

    ki tujh se dur the aur sham-e-ghurbat thi bayaban tha

    kisi se apni barbaadi ka shikwa kya karun 'saqib'

    ki mera hi dil-e-warafta mera dushman-e-jaan tha

    Source:

    (Pg. 143)

    • Author: Saqib Kanpuri
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now