Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

firaq-e-shab ki aziyyaton ka kalam dukh hai tamam dukh hai

Ameer Hamza Salfi

firaq-e-shab ki aziyyaton ka kalam dukh hai tamam dukh hai

Ameer Hamza Salfi

MORE BYAmeer Hamza Salfi

    firāq-e-shab aziyyatoñ kalām dukh hai tamām dukh hai

    yahāñ har ik moḌ par har ik shai naam dukh hai tamām dukh hai

    samajh sakā ek bhī na jab vo savāl merā javāb merā

    lage hai mujh ko ki merā saarā kalām dukh hai tamām dukh hai

    ḳhushī bhī aave hai aur ġhamī bhī ye zindagī safar hai pyāre

    ḳhushī hai maz.har bahār ġham naam dukh hai tamām dukh hai

    qadam jamā.e khaḌe raho tum na hausle past hone denā

    hai aane vaalā jo ek aage maqām dukh hai tamām dukh hai

    ye siskiyāñ ye muhīb rāteñ ye be-qarārī amiir 'hamza'

    haiñ rog jitne bhī un sabhī 'imām' dukh hai tamām dukh hai

    firaq-e-shab ki aziyyaton ka kalam dukh hai tamam dukh hai

    yahan har ek moD par har ek shai ka nam dukh hai tamam dukh hai

    samajh saka ek bhi na jab wo sawal mera jawab mera

    lage hai mujh ko ki mera sara kalam dukh hai tamam dukh hai

    KHushi bhi aawe hai aur ghami bhi ye zindagi ka safar hai pyare

    KHushi hai mazhar bahaar ka gham ka nam dukh hai tamam dukh hai

    qadam jamae khaDe raho tum na hausle past hone dena

    hai aane wala jo ek aage maqam dukh hai tamam dukh hai

    ye siskiyan ye muhib raaten ye be-qarari amir 'hamza'

    hain rog jitne bhi un sabhi ka 'imam' dukh hai tamam dukh hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now