Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

firaq-e-yar ke lamhe guzar hi jaenge

Zaheer Kashmiri

firaq-e-yar ke lamhe guzar hi jaenge

Zaheer Kashmiri

MORE BYZaheer Kashmiri

    firāq-e-yār ke lamhe guzar jā.eñge

    chaḌhe hue haiñ jo dariyā utar jā.eñge

    tamām raat dar-e-mai-kadā pe kaaTī hai

    sahar qarīb hai ab apne ghar jā.eñge

    mere hāl-e-pareshāñ kuchh ḳhayāl na kar

    jo zaḳhm ne lagā.e haiñ bhar jā.eñge

    miyān-dār-o-shabistān-e-yār baiThe haiñ

    jidhar ishāra-e-dil ho udhar jā.eñge

    julūs-e-nāz kabhī to idhar se guzregā

    kabhī to dil ke muqaddar sañvar jā.eñge

    yahī rahegā jo andāza-e-nā-shanāsā.ī

    tumhāre chāhne vaale to mar jā.eñge

    abhī chhiḌī bhī na thī dāstān-e-ahd-e-vafā

    kise ḳhabar thī ki vo yuuñ mukar jā.eñge

    jamāl-e-yār nādīda ḳhalvatoñ meñ 'zahīr'

    agar ga.e to ye āshufta-sar jā.eñge

    firaq-e-yar ke lamhe guzar hi jaenge

    chaDhe hue hain jo dariya utar hi jaenge

    tamam raat dar-e-mai-kada pe kaTi hai

    sahar qarib hai ab apne ghar hi jaenge

    tu mere haal-e-pareshan ka kuchh KHayal na kar

    jo zaKHm tu ne lagae hain bhar hi jaenge

    miyan-dar-o-shabistan-e-yar baiThe hain

    jidhar ishaara-e-dil ho udhar hi jaenge

    julus-e-naz kabhi to idhar se guzrega

    kabhi to dil ke muqaddar sanwar hi jaenge

    yahi rahega jo andaza-e-na-shanasai

    tumhaare chahne wale to mar hi jaenge

    abhi chhiDi bhi na thi dastan-e-ahd-e-wafa

    kise KHabar thi ki wo yun mukar hi jaenge

    jamal-e-yar ki nadida KHalwaton mein 'zahir'

    agar gae to ye aashufta-sar hi jaenge

    Source:

    Raqs-e-junuu.n (Pg. 114)

    • Author: Zaheer Kashmiri
      • Edition: 1982
      • Publisher: Mohd Jameel-un-nabi
      • Year of Publication: 1982
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now