Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

firaq-o-wasl to yak-dam thin aarzi rasMein

Idris Babar

firaq-o-wasl to yak-dam thin aarzi rasMein

Idris Babar

MORE BYIdris Babar

    firāq-o-vasl to yak-dam thiiñ 'ārzī rasmeñ

    hameñ gunāh ne bāñdhā huā hai aapas meñ

    ḳhushī thī itnī tirī rail chhūT jaane

    maiñ books rakh ke uThātā rahā tirī qasmeñ

    mirī to ḳhair thī kambaḳht titliyoñ ko bhī

    maza aur milā surḳh phūloñ ke ras meñ

    nazar jo ḳhvāb chehra koī sirhāne paḌā

    use bhī chaaT gayā maiñ kitāb chas meñ

    vo baaġh lāzmī hogā ye peḌ bhī hogā

    par aise phuul to khilte nahīñ haiñ undulas meñ

    sahar pahlī kiran ne qafas meñ par maare

    to ḳhuun dauḌ gayā pattharoñ nas-nas meñ

    usī ke pīchhe hai duniyā sab se daulat-mand

    jo husn ik dafa dekhā thā gashtī circus meñ

    vo paise gintī hai tantī hai chaltī bantī hai

    maiñ sochtā huuñ ki kyā kuchh nahīñ mire bas meñ

    abhī schōl ghanTī nahīñ bajī 'bābar'

    maiñ jhuk ke bāñdh rahā huuñ matīn ke tasme

    firaq-o-wasl to yak-dam thin 'arzi rasmen

    hamein gunah ne bandha hua hai aapas mein

    KHushi thi itni teri rail chhuT jaane ki

    main books rakh ke uThata raha teri qasmen

    meri to KHair thi kambaKHt titliyon ko bhi

    maza hi aur mila surKH phulon ke ras mein

    nazar jo KHwab sa chehra koi sirhane paDa

    use bhi chaT gaya main kitab ki chas mein

    wo bagh lazmi hoga ye peD bhi hoga

    par aise phul to khilte nahin hain undulas mein

    sahar ki pahli kiran ne qafas mein par mare

    to KHun dauD gaya pattharon ki nas-nas mein

    usi ke pichhe hai duniya ka sab se daulat-mand

    jo husn ek dafa dekha tha gashti circus mein

    wo paise ginti hai tanti hai chalti banti hai

    main sochta hun ki kya kuchh nahin mere bas mein

    abhi school ki ghanTi nahin baji 'babar'

    main jhuk ke bandh raha hun matin ke tasme

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now