Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

fishaar-e-tashwish se ibarat hai kawish-e-zindagi hamari

Zahida Zaidi

fishaar-e-tashwish se ibarat hai kawish-e-zindagi hamari

Zahida Zaidi

MORE BYZahida Zaidi

    fishār-e-tashvīsh se ibārat hai kāvish-e-zindagī hamārī

    ho kaise taz.īn fikr-e-nau ho kaise jazboñ ābiyārī

    ye zaḳhm kyūñkar bhareñge āḳhir ye daaġh kab tak jaleñge āḳhir

    kaTegī kaise girānī-e-shab rahegā kab tak ye dard jaarī

    miTā.eñ kaise ye dāġh-e-hasrat sameTeñ kaise gul-e-jarāhat

    haTā.eñ kaise ye bhārī patthar yahī hai ab zindagī hamārī

    ye kyā jagah hai ye kyā nagar hai ki jis har raah pur-ḳhatar hai

    ki jis nas nas meñ shor-o-shar hai ki jis manzil azāb-o-ḳhvārī

    havā meñ aahaT hai siskiyoñ fazā meñ ḳhuun basī hai

    udaas nazroñ meñ bahte sapne diloñ meñ dahshat ḳhauf taarī

    laboñ pe mohr-e-sukūt hai aur sulagtī āñkhoñ meñ ḳhūnī manzar

    lahū meñ ġhaltāñ haiñ ḳhvāb saare lagī hai sapne pe zarb-e-kārī

    fishaar-e-tashwish se ibarat hai kawish-e-zindagi hamari

    ho kaise tazin fikr-e-nau ki ho kaise jazbon ki aabiyari

    ye zaKHm kyunkar bharenge aaKHir ye dagh kab tak jalenge aaKHir

    kaTegi kaise girani-e-shab rahega kab tak ye dard jari

    miTaen kaise ye dagh-e-hasrat sameTen kaise gul-e-jarahat

    haTaen kaise ye bhaari patthar yahi hai ab zindagi hamari

    ye kya jagah hai ye kya nagar hai ki jis ki har rah pur-KHatar hai

    ki jis ki nas nas mein shor-o-shar hai ki jis ki manzil azab-o-KHwari

    hawa mein aahaT hai siskiyon ki faza mein bu KHun ki basi hai

    udas nazron mein bahte sapne dilon mein dahshat ka KHauf tari

    labon pe mohr-e-sukut hai aur sulagti aankhon mein KHuni manzar

    lahu mein ghaltan hain KHwab sare lagi hai sapne pe zarb-e-kari

    Source:

    Shair (Pg. 30)

      • Publisher: Nazir Noman Siddiqui
      • Year of Publication: 2005
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now