Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

fitnon ka karobar hai aao dua karen

Fakhir Jalalpuri

fitnon ka karobar hai aao dua karen

Fakhir Jalalpuri

MORE BYFakhir Jalalpuri

    fitnoñ kārobār hai aao duā kareñ

    har-sū ik intishār hai aao duā kareñ

    tahzīb-e-rakh-rakhāo aur ādāb-e-zindagī

    nasloñ pe jaise baar hai aao duā kareñ

    mauj-e-nasīm bād-e-sabā ke liye bhī ab

    har phuul jaise ḳhaar hai aao duā kareñ

    ik haq-parast aam nigāhoñ meñ in dinoñ

    jaise gunāhgār hai aao duā kareñ

    har har qadam pe galiyoñ meñ aur shāhrāh par

    tahzīb sharmsār hai aao duā kareñ

    aksar ḳhatīb-e-shahr irshād-e-āliya

    lafzoñ ik hisār hai aao duā kareñ

    afsos sirf luqma-e-tar havas meñ aaj

    insāñ zalīl-o-ḳhvār hai aao duā kareñ

    māl-o-manāl jāh-o-hasham bas ik junūñ

    a.asāb par savār hai aao duā kareñ

    apnā zamīr bechne vaalā āj-kal

    logoñ meñ zī-vaqār hai aao duā kareñ

    makr-o-fareb aur riyā-kāriyoñ shaġhl

    ab vaj.h-e-iftiḳhār hai aao duā kareñ

    dhartī pe rah ke karte haiñ baat āsmān

    yuuñ ziist se farār hai aao duā kareñ

    allāh re huqūq-o-farā.ez har amal

    ik dūsre pe baar hai aao duā kareñ

    'fāḳhir' anā pyaas bujhāne ke vāste

    har shaḳhs be-qarār hai aao duā kareñ

    fitnon ka karobar hai aao dua karen

    har-su ek intishaar hai aao dua karen

    tahzib-e-rakh-rakhao aur aadab-e-zindagi

    naslon pe jaise bar hai aao dua karen

    mauj-e-nasim baad-e-saba ke liye bhi ab

    har phul jaise KHar hai aao dua karen

    ek haq-parast aam nigahon mein in dinon

    jaise gunahgar hai aao dua karen

    har har qadam pe galiyon mein aur shahrah par

    tahzib sharmsar hai aao dua karen

    aksar KHatib-e-shahr ka irshad-e-aliya

    lafzon ka ek hisar hai aao dua karen

    afsos sirf luqma-e-tar ki hawas mein aaj

    insan zalil-o-KHwar hai aao dua karen

    mal-o-manal jah-o-hasham ka bas ek junun

    aasab par sawar hai aao dua karen

    apna zamir bechne wala hi aaj-kal

    logon mein zi-waqar hai aao dua karen

    makr-o-fareb aur riya-kariyon ka shaghl

    ab wajh-e-iftiKHar hai aao dua karen

    dharti pe rah ke karte hain baat aasman ki

    yun zist se farar hai aao dua karen

    allah re huquq-o-faraez ka har amal

    ek dusre pe bar hai aao dua karen

    'faKHir' ana ki pyas bujhane ke waste

    har shaKHs be-qarar hai aao dua karen

    Source:

    Nigar-e-Ghazal (Pg. 63)

    • Author: Fakhir Jalalpuri
      • Publisher: Fakhir Jalalpuri
      • Year of Publication: 2012
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now