Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

fitrat-e-husn mein agar ahliyat-e-wafa nahin

Rajendr Bahadur Mauj

fitrat-e-husn mein agar ahliyat-e-wafa nahin

Rajendr Bahadur Mauj

MORE BYRajendr Bahadur Mauj

    fitrat-e-husn meñ agar ahliyat-e-vafā nahīñ

    mujh ko ḳhudā se hai gila aap se kuchh gila nahīñ

    niiñd meñ hai abhī kalī phuul abhī khilā nahīñ

    barbat-e-ishq par magar naġhma-e-dil chhiḌā nahīñ

    ishq ibtidā to hai ishq intihā nahīñ

    ishq hai vo baqā sarisht jis ko kabhī fanā nahīñ

    merī shab-e-firāq pūchh na kuchh musībateñ

    jiinā to be-mazā thā marne meñ bhī mazā nahīñ

    mahfileñ jo ujaḌ ga.iiñ saj bhī ga.iiñ hazār baar

    merā jahān-e-ārzū ujḌā to phir basā nahīñ

    roz vafā.eñ bhī karūñ roz jafā.eñ bhī sahūñ

    banda-e-husn huuñ magar husn mirā ḳhudā nahīñ

    rāh-e-talab mushkileñ aur ye merī ḳhud-ravī

    chāroñ taraf huuñ maiñ maiñ koī bhī dūsrā nahīñ

    ḳhud ko miTā ḳhudī ko chhoḌ qaid-e-ta.a.īnāt toḌ

    ek hai asl husn-o-ishq koī judā judā nahīñ

    ishq meñ chāhe jaan jaa.e shikva magar na lab pe aa.e

    hazrat-e-dil ye haa.e haa.e ishq qā.eda nahīñ

    dil ho ḳhayāl-e-yār meñ aañkh ho intizār meñ

    mere dil-e-figār meñ hasrat-e-mā-sivā nahīñ

    rāh-e-vafā Thokareñ aur mirā tan-e-figār

    ab bhī ye imtihān-e-ishq ho gayā ḳhatm nahīñ

    māñgtā huuñ nigāh se terī gudāz-e-soz-e-barq

    mujh ko ba-qadr-e-zarf-e-dil lutf-e-ḳhalish milā nahīñ

    varta-e-zindagī meñ 'mauj' kyoñ haiñ ye nā-umīdiyāñ

    merā ḳhudā to saath hai kyā hai jo nāḳhudā nahīñ

    fitrat-e-husn mein agar ahliyat-e-wafa nahin

    mujh ko KHuda se hai gila aap se kuchh gila nahin

    nind mein hai abhi kali phul abhi khila nahin

    barbat-e-ishq par magar naghma-e-dil chhiDa nahin

    ishq ki ibtida to hai ishq ki intiha nahin

    ishq hai wo baqa sarisht jis ko kabhi fana nahin

    meri shab-e-firaq ki puchh na kuchh musibaten

    jina to be-maza hi tha marne mein bhi maza nahin

    mahfilen jo ujaD gain saj bhi gain hazar bar

    mera jahan-e-arzu ujDa to phir basa nahin

    roz wafaen bhi karun roz jafaen bhi sahun

    banda-e-husn hun magar husn mera KHuda nahin

    rah-e-talab ki mushkilen aur ye meri KHud-rawi

    chaaron taraf hun main hi main koi bhi dusra nahin

    KHud ko miTa KHudi ko chhoD qaid-e-tainat toD

    ek hai asl husn-o-ishq koi juda juda nahin

    ishq mein chahe jaan jae shikwa magar na lab pe aae

    hazrat-e-dil ye hae hae ishq ka qaeda nahin

    dil ho KHayal-e-yar mein aankh ho intizar mein

    mere dil-e-figar mein hasrat-e-ma-siwa nahin

    rah-e-wafa ki Thokaren aur mera tan-e-figar

    ab bhi ye imtihan-e-ishq ho gaya KHatm ya nahin

    mangta hun nigah se teri gudaz-e-soz-e-barq

    mujh ko ba-qadr-e-zarf-e-dil lutf-e-KHalish mila nahin

    warta-e-zindagi mein 'mauj' kyon hain ye na-umidiyan

    mera KHuda to sath hai kya hai jo naKHuda nahin

    Source:

    Toofan (Pg. 30)

    • Author: Rajendr Bahadur Mauj
      • Publisher: Unknown Organization
      • Year of Publication: 1945
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now