Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

fitrat ulaT ke KHwab dikhane diye gae

Kazim Husain Kazim

fitrat ulaT ke KHwab dikhane diye gae

Kazim Husain Kazim

MORE BYKazim Husain Kazim

    fitrat ulaT ke ḳhvāb dikhāne diye ga.e

    gūñgoñ ko bad-zabānī ke ta.ane diye ga.e

    rāhat pairvī meñ takalluf gañvā diyā

    āñgan meñ ġhair log bhī aane diye ga.e

    andhoñ bārgāh meñ āñkheñ fuzūl thiiñ

    ik sar-burīda jism ko shāne diye ga.e

    ik ret jabīn pe patthar Thokareñ

    be-ghar musāfiroñ ko Thikāne diye ga.e

    paanī maat tishna-laboñ ko na thī qubūl

    sad shukr mujh ko ashk bahāne diye ga.e

    ye āsmāñ zamīn nālain rah gayā

    badle meñ us ko taare ugāne diye ga.e

    ham tīrgī ke saath numāyāñ the bazm meñ

    un ko to un ke ghar se bhī laane diye ga.e

    ham pairāhan ke taar se bāñdhe hue vajūd

    tasbīh ke mizāj ko daane diye ga.e

    do lāshe to ghoḌoñ ke paañv rizq the

    baaqī to saare lāshe uThāne diye ga.e

    kitne zamāne lamhoñ ġhaflat se mar ga.e

    saa.at bandagī ko zamāne diye ga.e

    bujhte hue charāġh tābinda raushnī

    vo raushnī ki jis ko churāne diye ga.e

    sajde mirī jabīn meñ rakkhe ga.e magar

    āñkhoñ meñ mujh ko jism basāne diye ga.e

    'kāzim' kisī ke ġham rifāqat shukriya

    mujh ko bhī kuchh charāġh jalāne diye ga.e

    fitrat ulaT ke KHwab dikhane diye gae

    gungon ko bad-zabani ke tane diye gae

    rahat ki pairwi mein takalluf ganwa diya

    aangan mein ghair log bhi aane diye gae

    andhon ki bargah mein aankhen fuzul thin

    ek sar-burida jism ko shane diye gae

    ek ret ki jabin pe patthar ki Thokaren

    be-ghar musafiron ko Thikane diye gae

    pani ki mat tishna-labon ko na thi qubul

    sad shukr mujh ko ashk bahane diye gae

    ye aasman zamin ki nalain rah gaya

    badle mein us ko tare ugane diye gae

    hum tirgi ke sath numayan the bazm mein

    un ko to un ke ghar se bhi lane diye gae

    hum pairahan ke tar se bandhe hue wajud

    tasbih ke mizaj ko dane diye gae

    do lashe hi to ghoDon ke panw ka rizq the

    baqi to sare lashe uThane diye gae

    kitne zamane lamhon ki ghaflat se mar gae

    saat ki bandagi ko zamane diye gae

    bujhte hue charagh ki tabinda raushni

    wo raushni ki jis ko churane diye gae

    sajde meri jabin mein rakkhe gae magar

    aankhon mein mujh ko jism basane diye gae

    'kazim' kisi ke gham ki rifaqat ka shukriya

    mujh ko bhi kuchh charagh jalane diye gae

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now