Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dost jab zi-waqar hota hai

Indira Varma

dost jab zi-waqar hota hai

Indira Varma

MORE BYIndira Varma

    dost jab zī-vaqār hotā hai

    dostī meyār hotā hai

    When the friend is dignified and honourable

    Friendship is the hallmark of dignity

    ab tasavvur suunī vaadī meñ

    roz jashn-e-bahār hotā hai

    Now in the desolate Valley of the imagination

    The Festival of Spring is celebrated everyday

    gulshan-e-jāñ meñ un ke aane se

    gul-sifat kārobār hotā hai

    With their coming into the Garden of Life

    Business, Like the transaction of flowers,blooms

    jab bichhaḌ jaatā hai koī apnā

    ġham bas rozgār hotā hai

    When those close to us are separated

    Sorrow is the only trade and commerce

    chāñd raqs ho rahā hai kahīñ

    dil yahāñ se nisār hotā hai

    Somewhere,the dance of the moon is taking place

    Here,our heart is being frittered away

    shāḳh-dar-shāḳh hotī hai zaḳhmī

    jab parinda shikār hotā hai

    Branch after branch gets wounded

    When the bird becomes the prey

    dost jab zi-waqar hota hai

    dosti ka meyar hota hai

    When the friend is dignified and honourable

    Friendship is the hallmark of dignity

    ab tasawwur ki suni wadi mein

    roz jashn-e-bahaar hota hai

    Now in the desolate Valley of the imagination

    The Festival of Spring is celebrated everyday

    gulshan-e-jaan mein un ke aane se

    gul-sifat karobar hota hai

    With their coming into the Garden of Life

    Business, Like the transaction of flowers,blooms

    jab bichhaD jata hai koi apna

    gham hi bas rozgar hota hai

    When those close to us are separated

    Sorrow is the only trade and commerce

    chand ka raqs ho raha hai kahin

    dil yahan se nisar hota hai

    Somewhere,the dance of the moon is taking place

    Here,our heart is being frittered away

    shaKH-dar-shaKH hoti hai zaKHmi

    jab parinda shikar hota hai

    Branch after branch gets wounded

    When the bird becomes the prey

    RECITATIONS

    Radhika Chopra

    Radhika Chopra,

    Radhika Chopra

    dost jab zi-waqar hota hai Radhika Chopra

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now