Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

furqat ki aafat bure din kaTna sal hai

Imdad Ali Bahr

furqat ki aafat bure din kaTna sal hai

Imdad Ali Bahr

MORE BYImdad Ali Bahr

    furqat aafat bure din kāTnā saal hai

    ye haath hai so kare ye siina ghaḌiyāl hai

    rotā huuñ shām-o-sahar TukḌe hai ġham se jigar

    bedard kuchh rahm kar merā burā haal hai

    bechain kahāñ dil-e-sāmāñ yāqūb hai maqāl

    jins-e-vafā hai kaal kan.ān meñ haT-tāl hai

    resham ke lachchhe haiñ baal maḳhmal ke TukḌe haiñ gaal

    hai ye nazākat haal patlī kamar baal hai

    āshiq bache tā-ba kaalī balā hai ye shai

    kākul jo halqa hai muuzī chañgāl hai

    kyuuñ aa.e ham ai parī halchal meñ hai zindagī

    aafat hai tere gale āñdhī hai bhauñchāl hai

    phūloñ meñ rañgat na sabze ko kuuḌā kaho

    pā-e-ḳhizāñ qat.a ho gulzār pā.emāl hai

    dil nazar jis ne kiyā Thukrā ke us ne kahā

    letī hai merī balā dargor kyā maal hai

    har-dam na dekh us ke baal sar par na le ye vabāl

    ko balā meñ na Daal ai dil ye janjāl hai

    raftār kahiye use dil har qadam par pise

    pūchhe koī kabk se sadqe ajab chaal hai

    kyā kahiye kyā ġham sahā din-rāt rotā rahā

    dil ḳhuun ho kar bahā rañgīn rūmāl hai

    ushshāq hai ye haal din-rāt hai hāl-e-qāl

    āh-o-fuġhāñ hai ḳhayāl-e-sīna-zanī taal hai

    saut jafā-kesh hai āshiq jigar-resh hai

    abrū hai niish hai bichchhū hai ḳhaal hai

    hai kuchh na kuchh to ba-jog nāhaq nahīñ hai ye birog

    kaisā lagā ko rog ai 'bahr' kyā haal hai

    furqat ki aafat bure din kaTna sal hai

    ye hath hai so kare ye sina ghaDiyal hai

    rota hun sham-o-sahar TukDe hai gham se jigar

    bedard kuchh rahm kar mera bura haal hai

    bechain kahan dil-e-saman yaqub ka hai maqal

    jins-e-wafa ka hai kal kanan mein haT-tal hai

    resham ke lachchhe hain baal maKHmal ke TukDe hain gal

    hai ye nazakat ka haal patli kamar baal hai

    aashiq bache ta-ba ki kali bala hai ye shai

    kakul ka jo halqa hai muzi ka changal hai

    kyun aae hum ai pari halchal mein hai zindagi

    aafat hai tere gale aandhi hai bhaunchaal hai

    phulon mein rangat na bu sabze ko kuDa kaho

    pa-e-KHizan qata ho gulzar paemal hai

    dil nazar jis ne kiya Thukra ke us ne kaha

    leti hai meri bala dargor kya mal hai

    har-dam na dekh us ke baal sar par na le ye wabaal

    ji ko bala mein na Dal ai dil ye janjal hai

    raftar kahiye use dil har qadam par pise

    puchhe koi kabk se sadqe ajab chaal hai

    kya kahiye kya gham saha din-raat rota raha

    dil KHun ho kar baha rangin rumal hai

    ushshaq ka hai ye haal din-raat hai haal-e-qal

    aah-o-fughan hai KHayal-e-sina-zani tal hai

    saut jafa-kesh hai aashiq jigar-resh hai

    abru hai ya nish hai bichchhu hai ya KHal hai

    hai kuchh na kuchh to ba-jog nahaq nahin hai ye birog

    kaisa laga ji ko rog ai 'bahr' kya haal hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now