Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

fursat-e-hijr mein kuchh kar-e-tamasha hi sahi

Ataul Hasan

fursat-e-hijr mein kuchh kar-e-tamasha hi sahi

Ataul Hasan

MORE BYAtaul Hasan

    fursat-e-hijr meñ kuchh kār-e-tamāsha sahī

    nahīñ mujh ko mayassar to ye duniyā sahī

    maiñ kisī rahm-o-karam par to nahīñ terī tarah

    ziist raah pe ab chāhe maiñ tanhā sahī

    qarya-e-ġhair meñ alfāz dam ghaTtā hai

    fart-e-iz.hār ke pal apnā ilāqa sahī

    pahle baḌh-chaḌh ke mohabbat meñ kiyā vaqt basar

    ab zabūñ-hālī-e-jazbāt meñ itnā sahī

    jaane vaale koī ik to bharam rahne de

    kuchh na kuchh dil ke liye hāsil-e-rafta sahī

    sarsarī rañj pe bantā hai hasan zabt magar

    is bahāne se chalo varzish-e-girya sahī

    fursat-e-hijr mein kuchh kar-e-tamasha hi sahi

    tu nahin mujh ko mayassar to ye duniya hi sahi

    main kisi rahm-o-karam par to nahin teri tarah

    zist ki rah pe ab chahe main tanha hi sahi

    qarya-e-ghair mein alfaz ka dam ghaTta hai

    fart-e-izhaar ke pal apna ilaqa hi sahi

    pahle baDh-chaDh ke mohabbat mein kiya waqt basar

    ab zabun-haali-e-jazbaat mein itna hi sahi

    jaane wale tu koi ek to bharam rahne de

    kuchh na kuchh dil ke liye hasil-e-rafta hi sahi

    sarsari ranj pe banta hai hasan zabt magar

    is bahane se chalo warzish-e-girya hi sahi

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now