aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

fusun-zada hain hawaen manzar tamam mashur chup paDe hain

Bilqis Zafirul Hasan

fusun-zada hain hawaen manzar tamam mashur chup paDe hain

Bilqis Zafirul Hasan

MORE BYBilqis Zafirul Hasan

    fusūñ-zada haiñ havā.eñ manzar tamām mas.hūr chup paḌe haiñ

    siyāh nairañg nīm-shab sitāre jhuk jhuk ke dekhte haiñ

    sahar lau meñ jalā rahī hai sabā kañval rañg-o-bū meñ tar haiñ

    daraḳht saare sajā.e motī thāliyāñ saf-ba-saf khaḌe haiñ

    hazār rāteñ guzar ga.iiñ ik hamāre ġham shab na guzrī

    ujāle ḳhā.if siyah-kade se badal ke rasta nikal rahe haiñ

    dhaḌakte dil jaisī sā.atoñ vaale roz-o-shab ab kahāñ se laa.eñ

    gire hue ḳhushk mausamoñ meñ na jaane kab ke vo kho chuke haiñ

    is ek zindagī meñ kitne janam liye baar baar ham ne

    aur ab ye roz jaan de de ke kyuuñ jiye baiThe sochte haiñ

    haqīqateñ yuuñ nahīñ badaltīñ ba-ḳhūbī ma.alūm hai hameñ bhī

    farār hone ko ḳhud se kuchh ḳhvāb-zār phir bhī banā liye haiñ

    ḳhud apnī ḳhvāhish pe jaan dene naam rakkhā hai ishq-o-ulfat

    huā havas meñ ye ḳhud-farebī ke jaal kyā dil-nashīñ bune haiñ

    fusun-zada hain hawaen manzar tamam mashur chup paDe hain

    siyah nairang nim-shab ka sitare jhuk jhuk ke dekhte hain

    sahar ki lau mein jala rahi hai saba kanwal rang-o-bu mein tar hain

    daraKHt sare sajae moti ki thaaliyan saf-ba-saf khaDe hain

    hazar raaten guzar gain ek hamare hi gham ki shab na guzri

    ujale KHaif siyah-kade se badal ke rasta nikal rahe hain

    dhaDakte dil jaisi saaton wale roz-o-shab ab kahan se laen

    gire hue KHushk mausamon mein na jaane kab ke wo kho chuke hain

    is ek hi zindagi mein kitne janam liye bar bar hum ne

    aur ab ye roz jaan de de ke kyun jiye baiThe sochte hain

    haqiqaten yun nahin badaltin ba-KHubi malum hai hamein bhi

    farar hone ko KHud se kuchh KHwab-zar phir bhi bana liye hain

    KHud apni KHwahish pe jaan dene ka nam rakkha hai ishq-o-ulfat

    hua hawas mein ye KHud-farebi ke jal kya dil-nashin bune hain

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now