Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ghaalib ki har zamin mein KHurafat chahiye

T N Raaz

ghaalib ki har zamin mein KHurafat chahiye

T N Raaz

MORE BYT N Raaz

    'ġhālib' har zamīñ meñ ḳhurāfāt chāhiye

    taḳhrīb kuchh to bahr-e-mulāqāt chāhiye

    choroñ ko bor kiije na aise ḳhulūs se

    din vo kyā kareñge unheñ raat chāhiye

    jo kuchh bhī aap chāheñge mil jā.egā huzūr

    bas mantarī se thoḌī mulāqāt chāhiye

    insāniyat ko lūTne vāloñ hai ilaaj

    aise harām-ḳhoroñ ko bas laat chāhiye

    gar chāhte haiñ aap ki majnūñ ishq ho

    patthar bhī sar pe khāne auqāt chāhiye

    shādī hai ik yatīm ḳhushiyoñ ko bāñTne

    ik nāchtī kirā.e pe bārāt chāhiye

    maz.hab ke aur sex ke business ke vāste

    santoñ sādhūoñ karāmāt chāhiye

    in qaidiyoñ ke jurm tafsīl ke liye

    mujh ko bhī chand roz havālāt chāhiye

    jin ko ḳhudā zaat se kuchh inhirāf hai

    ustād aise logoñ bad-zāt chāhiye

    paanī ke devtā se mirī hai yahī duā

    dilbar na lauT paa.e vo barsāt chāhiye

    ik bosa ham ko de do mohabbat ke naam par

    ham husn ke faqīr haiñ ḳhairāt chāhiye

    la.anat hai tum pe 'rāz' ki nangī le chale

    kāġhaz meñ lipTī aap sauġhāt chāhiye

    'ghaalib' ki har zamin mein KHurafat chahiye

    taKHrib kuchh to bahr-e-mulaqat chahiye

    choron ko bor kije na aise KHulus se

    din ka wo kya karenge unhen raat chahiye

    jo kuchh bhi aap chahenge mil jaega huzur

    bas mantari se thoDi mulaqat chahiye

    insaniyat ko luTne walon ka hai ilaj

    aise haram-KHoron ko bas lat chahiye

    gar chahte hain aap ki majnun sa ishq ho

    patthar bhi sar pe khane ki auqat chahiye

    shadi hai ek yatim ki KHushiyon ko banTne

    ek nachti kirae pe baraat chahiye

    mazhab ke aur sex ke business ke waste

    santon si sadhuon si karamat chahiye

    in qaidiyon ke jurm ki tafsil ke liye

    mujh ko bhi chand roz hawalat chahiye

    jin ko KHuda ki zat se kuchh inhiraf hai

    ustad aise logon ka bad-zat chahiye

    pani ke dewta se meri hai yahi dua

    dilbar na lauT pae wo barsat chahiye

    ek bosa hum ko de do mohabbat ke nam par

    hum husn ke faqir hain KHairaat chahiye

    lanat hai tum pe 'raaz' ki nangi hi le chale

    kaghaz mein lipTi aap ki saughat chahiye

    Source:

    Durgat (Pg. 65)

    • Author: T N Raaz
      • Publisher: T N Raaz
      • Year of Publication: 1995
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now