Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

gae dinon ki musafirat ka ba-yak-qalam ishtihaar likhna

Rasheed Ejaz

gae dinon ki musafirat ka ba-yak-qalam ishtihaar likhna

Rasheed Ejaz

MORE BYRasheed Ejaz

    ga.e dinoñ musāfirat ba-yak-qalam ishtihār likhnā

    mire pasīne pyaar likhnā lahū apne qarār likhnā

    ajab hai kyā merī samt aa kar tamām patthar mahak uTheñge

    tumhāre atrāf kis qadar hai mire ḳhatoñ hisār likhnā

    dalīl chāhe agar qalam merī tarah āñkhoñ ko muuñd lenā

    tamām andhī nigāh vāloñ ko be-jhijak shab-guzār likhnā

    hinā ko tarse hue kaf-e-pā jaal Tuk ruk ke pūchh lenā

    kahāñ talak ābdāriyoñ meñ hai surḳh sabze dhaar likhnā

    ukhaḌ ke dahlīz dar chaukhaT se kitnī duur pe paḌī hai

    hai kitnī shiddat se un rutoñ meñ tumheñ merā intizār likhnā

    maiñ jāntā huuñ khaTak rahī hai tumheñ mirī muntashir dimāġhī

    bhare-pure shahr meñ utar kar mirā mujhe be-dayār likhnā

    gae dinon ki musafirat ka ba-yak-qalam ishtihaar likhna

    mere pasine ka pyar likhna lahu ka apne qarar likhna

    ajab hai kya meri samt aa kar tamam patthar mahak uThenge

    tumhaare atraf kis qadar hai mere KHaton ka hisar likhna

    dalil chahe agar qalam meri tarah aankhon ko mund lena

    tamam andhi nigah walon ko be-jhijak shab-guzar likhna

    hina ko tarse hue kaf-e-pa ka jal Tuk ruk ke puchh lena

    kahan talak aabdariyon mein hai surKH sabze ki dhaar likhna

    ukhaD ke dahliz dar ki chaukhaT se kitni dur pe ja paDi hai

    hai kitni shiddat se un ruton mein tumhein mera intizar likhna

    main jaanta hun khaTak rahi hai tumhein meri muntashir dimaghi

    bhare-pure shahr mein utar kar mera mujhe be-dayar likhna

    Source:

    Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab (Pg. 639)

      • Edition: 1993
      • Publisher: Anjuman-e-Rooh-e-Adab, Allahabad
      • Year of Publication: 1993
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now